Friday, 18 October 2013

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 212



A Must Watch!!!
18.10.2013, Mumbai  
 
Anurag Kashyap produced aur Hansal Mehta directed Shahid criminal lawyer Shahid Azmi ki zindagi ki kahani hain.
1993 ke zakham ke baad Shahid, Kashmir chala jaata hain aur militant mein bharti hota hain.
Lekin ye jehaad usse raas nahi aata aur wo ghar wapas lauta hain, magar ab zindagi utni aasan nahi.
Shahid ko terrorist ailan karke lambe arse tak qaid kiya jaata hain.
 Anginnat atyachar ke bawajood, Shahid toot ta nahi balke apne jaise doosron ke liye missal ban jaata hain.
Director Hansal Mehta hume Shahid ke saath hue har anyay ko sahas, dhairya aur niddarta se pesh karte hain.
Film ki likhawat mein aisi sachai - aur presentation mein aisi shakti hain jo aap ke raungte khade kar deti hain!
Film ka har scene – jail ke andar, torture room mein, court room mein aap ko bandh ke rakhta hain.
Hero Raj Kumar Yadav ShahidAzmi ke har apman/ har dukh ko har pal jeeta hain!
Film beshaq violent hain magar humare aaj ki paristhitiyon ka pratibimb hain.
Aisi film dekhna har swabhimani vyakti ke liye anivarya hain!
Shahid aatma samaan ke liye ladne ki prerna hain!
Shahid ko Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars

Bhawana Somaaya / @bhawansaomaaya

No comments:

Post a Comment