Excel Entertainment produced aur Zoya Akhtar
directed, Dil Dhadakne Do, kahani
hain business tycoon Kamal Mehra aur unke pariwar ki.
Mehra apni shaadi ki teesvi saalgirah manaane, apne
kuch dost aur business associate ko lekar cruise par nikal jaate hain.
Aise lambe holiday par jaise aksar hota hain, kuch
rishte judte hain aur kuch bikharte hain, kuch naye jasbaadon ka izhaar hota
hain aur kuch purane ghaav bhi taaza hote hain.
Iss yaadgaar safar mein shamil hain 6 dilchasp kirdaar
: Neelam aur Kamal Mehra, yaane Shefali Shah aur Anil Kapoor, jinke paas sab
kuch hain, sivay ek doosre ke liye samay.
Unki beti Ayesha, jiske paas bhi sab kuch hain, sivay
aazadi aur beta Kabir, yaane Ranvir Singh jo sab kuch thukra kar aasmaan mein
udna chahta hain.
Film ka plus: film ka plot, premise, cinematography,
Reema Kagti-Zoya Akhtar ki detailed writing, saare kirdaar aur unki chemistry.
Film ka minus, film ka interruptive narrative, film
lambi hain, dheemi hain aur zyaada surili bhi nahi hain.
Iske bawajood,
Dil Dhadakne Do engaging hain,
sensitive hain, realistic hain aur sabse kamaal ki baat, behad vyaktigat hain!
Aisa mehsoos hota hain, jaise hum, yaane audience, theatre mein nahin, Mehra pariwar ke sang, cruise
par hain.
Aur kabhi kabhi aisa bhi lagta hain, jaise ye film
nahin, saare kirdaaron ki aap beeti hain jisse director vishwas aur dhairya se
sun rahi hain.
Dil
Dhadakne Do ko scintillating star cast aur
heartfelt performances ke liye Big Entertainment Ratings milte hain 4 stars.
Bhawana
Somaaya/ @bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment