Saturday 22 December 2012

Chulbul Panday Returns


Iss hafte ek ki release hai Arbaaz Khan ki Dabangg 2.

Aam taurpe filmein sirf do prakar ki hoti hain.
Ya toh filmein achi hoti hain ya phir film burri hoti hain.
Magar Salman Khan ki filmein na achi hoti hain - na hi burri hoti hain - wo sirf aur sirf Salman Khana ki  film hoti hain.

Dabangg 2 sahi mano mein Dangg ka sequel hain. 
Wohi josh ,Jalwa, jhatka matka - kuch purani aur kuch nayi baton ke saath.

Peechli baar Chulbul Panday Lalganj mein thhe.
Iss baar Pandayji ki posting Kanpur mein hain isliye kuch Kanpur ki sadkein, kothiyaan aur wahan ki cheheal pehal film mein nazar aate hain.

Peechli baar Chulbul Panday pita Vinod Khanna aur bhai Makhi Singh ke dushman thhe.
Iss baar saara pariwar Tv serial ke pariwar ki tarha saath saath hain.

Peechli baar Chulbulji Sonakshi Sinha se ishq ladaye the.
Iss baar wo apni patni par puri tarha se kayal hain.

Peechli baar Munni thi. Iss baar bhi Munni hain.
Peechli baar Zandu Balm ka item number tha. Iss baar Kareena Fevicol ka item number sajati hain.

Peechli baar Pandayji action cop the.  Iss baar wo sper cop hain -ahan jaate hain sena saath lekar jaate hain – ladne ke liye nahi hasi mazak karne ke liye.

Peechli baar jab wo gunde ko marte the toh ainn mauke par gunde ka mobile baja tha.
Iss baar bhi jab wo gunde ko maarte hain toh ainn mauke par gunde ka mobile bajta hain.
Dono baar call maa ka tha aur dono baar Panday maa ko Namaste karte hain.

Peechli baar Salman Khan ne trouser belt ko pakad kar ek special dance step kiya tha.
Iss baar unka trouser belt apne aap uchalkar dance karta hain.

Peechli baar wo action aur romantic hero thhe.
Iss baar wo bhavook hokar kabhi kabhi ro bhi lete hain.

Peechli baar climax scene mein villain Sonu Singh ko dekhkar  unka shirt gusse mein apne aap phat jaata hain.
Iss baar wo villain ko shirt utarte dekhkar apna shirt nikalkar unki jamke pitai karte hain.
Peechli baar Chulbul Panday ek se do hue the. Iss baar wo do se teen hote hain. 

Sach toh ye hain ki Salman Khan ki film ka review karn mushkil hi nahi namumkin hain aur ye namumkin  Dabangg se Dabangg 2 ka promotion karwaya hain producer director Arbaaz Khan ne.

Toh Dabangg 2 ko Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars.

Saturday 1 December 2012

Searching for someone…


Film: Talaash
Producer: Aamir Khan, Farhan Akhtar, Ritesh Sidhwani
Director: Reema Kagti
Cast:  Aamir Khan, Kareena Kapoor, Rani Mukerji
Genre: Suspense, Thriller


Iss hafte sirf ek release hain – Excel Entertainment aur Aamir Khan Productions ki Talaash.
Talaash police inspector Shikhawat Suri ki kahai hain –jo ek zyaati haadse ke baad kabhi chain ki neend so nahi paata.
Shikhawat saari saari raat shehar ki andheri sadkon par ghumta hain.
Aisi hi ek andheri sadak par unki mulakate Rosie yaane Kareena Kapoor se hoti hain.
Shikhawat yaane Aamir Khan ko talsaash hain ek suraag ki.
Rosie Shikhawat ko surag tak le jaati hain – magar na chahte hue use aur bhi pareshaan kar deti hain.
Roshni – yaane Rani Mukherji pareshan hain apne pati Suri yaane Aamir Khan ke liye.
Film ka pace unduly slow hain – aur saath saath ek constant tension bhi hain – jiski wajah se puri film ke dauran ek ghutan si mehsoos hoti hain…
Film sanjida hain aur devoid entertainment bhi toh koi romance, music ya item number ki umeed na rakhe.
Film ke plus mein main kahungi ki film ki shot taking bohat niralee hain aur ordinary se ordinary scene extra-ordinary tarike se unfols karti hain.
Director Reema Kagti ki sabse badi khubi ye hain ki who apne audience ko bilkul hi underestimate nahi karti jiski wajah se film ka har khayal-jassba -har rishta aur kirdaar understated hain!
Credit titles aur opening shot se lekar – saare close-ups- flashbacks aur montages bohat hi sensitively project kiye gaye hain.
Saare performances competent hain magar Kareena Kapoor ke screen par aate hi ek ruhani jadu chha jaata hain. – isliye Kareena film ka ikka hain.
 Zoya Akhtar aur Reema Kagti ki kahani emotional hain magar bohat saari memorable ki yaad dilate hain.
Film ka doosre ikka hain – Farhan Akhtar ke dialogues – jo teer ki tarha dil ko chubhte hain.
Ye do ikke aur technical expertise ke bawajood film mein kuch kummi hain – jaise kuch choot gaya hain – aur jisse hum bayyan nahi kar sakte.
Talaash ki ek aur anokhi baat hain. Fil dekhne ke dauraan aapka ka ek anubhav hain – aur theatre chodne ke baad -doosri subah aap ka alag anubhav hain.
Ye dono anubhav s ke liye Talaash ko Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars.
Bhawana Somaaya
www.bhawanasomaaya.com