This Friday its all about performances!
17/4/2015
Shonali
Bose directed Margarita with a Straw
19 saal ki differently challenged ladki, Laila, yaane Kalki Kochelin ki kahani
hain.
Laila
honhaar musician hain aur apne group ke liye gaane bhi likhti hai.
Wo ek
aam zindagi jeena chahti hain aur Shubhangi, Laila ki maa, yaane Revathy, uski
ye koshish mein madad karti hain.
Film ka
sandesh ye hain ki disabled ke bhi wohi armaan aur jasbaad hote hain, jaise humare
aur aap ke, aur ye hi film ka contradiction hain.
Laila
university mein sangit ki taalim le rahi hain magar kahani sirf aur sirf, Laila
ke sexual preoccupations par focus karti hain!!
Film
privacy ka mudda uthati hain magar Laila ko hum bathroom, bedroom, personal
shopping aur private website par bhi dekhte hain.
Sach toh
ye hain, ki hum kirdaar se heroism ki
apeksha karte hain, magar afsos, filmmaker hume voyeurist ka anubhav karaati
hain.
Ye Kalki
Kochelin ke career ka best performance hain aur usse bhi behtar hain maa-beti
Revathy- Kalki ka rishta.
Margarita with a Straw ko bahtarteen performances ke
liye Big Entertainment Ratings milte
hain 2.5 stars.
*********************************************************************
Vishesh
Films produced aur Vikram Bhatt directed Mr
X kahani hain ek invisible officer ki jo adrashya rehkar apna badla leta
hain aur sab ko nyay dilate hain.
1987
mein Shekhar Kapoor ne issi vishay par ek film banayi thi Mr India.
Mr India mein Anil Kapoor ke paas ek magic
bracelet tha, jiska button on/off kar ke, wo visible/ invisible ban jaate thee.
Vikram
Bhatt ka hero, Raghu, yaane Mr X, ke problems aur paristhitiyaan zyaada complicated
hain.
Film ka
plus, film ka music, production values, action, special effects aur Emraan
Hashmi jo koi bhi role mein fit ho jaate hain.
Film ka
minus na isme dil hain, na jaan, toh 3D chashme pehno aur popcrn khao.
Mr X ko Big
Entertainment Ratings milte hain 2.5 stars