Friday 23 March 2012

No AGENT better than VINOD!!


Namaskar - Cinema Review mein - main Bhawana Somaaya - aapka swagat karti hoon.
Aap sab ko Guudi Padwan ki shubh kamnayein.


Naya saal humare liye kaisa sabit hoga nahi pata.
Magar cinema ke liye naya saal bohat shubh hai!

Paan Singh Tomaar aur Kahaani jaisi acchi aur kamyaab filmon ke baad
iss hafte - ek aur achi film release - Agent Vinod.

Sriram Raghavan directed aur Saif Ali Khan produced Agent Vinod suspense thriller hai.

Film ki shuruat mein alag alag pranto mein - alag alag haadse hote hai…
Uzbekistan mein ek KGB officer mara jata hai…
Cape Town mein ek high powered international meeting hoti hai…
Moscow mein ek Indian agent ka parda faash kiya jaata hai…
Aur investigation ke liye bheja jaata hai - Agent Vinod yaane - Saif Ali Khan ko!

Kuch filmon mein sirf kahani mayne rakhti hai - aur kuch mein sirf form…
Agent Vinod doosre prakar ki film hai…
Saif Ali Khan - kiske peeche aur kyon bhagta hai- ye mayne nahi rakhta
Director Sriram Raghavan - unko kyon - kaise aur kya karwate hain - wo mayne rakhta hai! 

 

Murlidharan ka camera panchi ki tarha - Marrakesh, Riga, Karachi, India aur London ki waadiyon mein jhumta hai…
Wahan ke locations, chehre, costume, bhasha aur uss prant ke rang, textures aur architectures se parichit karwata hai.

Director Raghavan mein ek khaas baat hai -
wo apne protagonist ke alava - unke aas paas ke vatavaran ko bekhubi se pesh karte hai.
Aur ismein unka saath deta hai - film ka extraordinary background score...
Pritam Chakravarthy ka music aur 16 singers ki team - humara dil khush kar deti hai

Film ki writing umdda hai -refreshing, witty aur spunky - khas taurpe one line dialogues!
Suspense filmon mein usually emotions ke liye jagah nahi hoti
Agent Vinod aapko real emotions aur believable relationships ka tarrukh karwata hai...

Film mein sab kuch hai - car chase, choppers,
gun fights, villains, disguise, aircraft drama...Aur Saif Kareena ki comfortable chemistry...
Chotte se chotte kirdaar ki bahsha aur bhusha par dhyan diya gaya hai- aur wo nazar aata hai.

Film ka sound, action, cinematography, editing, saare performances extraordinary hai.

Ab tak humne Saif Ali Khan ko romantic aur social filmon mein dekha hai-
Sriram Raghavan - jinhone unko Ek Haseena Thi mein pehli baar  negative role mein pesh kiya tha ….
iss baar pehle action role mein laaye hai…



Film beshaq thodi lambi hai - magar shikayat ka mauka nahi deti
Kabhi aise lagta hai jaise director Hitchkock ko tribute de rahe hai…Kabhi Vijay Anand aur RD Burman ko...Agent Vinod  - aaj ke daur ki Teesri Manzil hai.
Saif ne isse apne Abba ko arpit kiya hai...Unke Abba jahan bhi hai apne bete par naaz karenge.

Film ki lavish scale, presentation aur pace ke liye Agent Vinod ko milte hain 4 stars.

To ye thi iss hafte ki release - agle hafte phir mulakate hogi - tab tak ke liye mujhe dijiye ijaazat - happy Guddi Padwa aur namaskar.

The review appears as it is on Cinema Review on Zee Cinema, Fridays 9PM.
In an edited version over weekends on 92.7 Big FM