Finding Fanny is Finding Joy!
12/9/2014
Vishal
Bajaj produced aur Homi Adajania directed Finding
Fanny Goa ke chotte gaon Pocolim ki kahani hain.
Pocolim
aisa gaon hain, jahan sab ek doosre ko jaante hain aur chahe na chahe, ek
doosre ki zindagi mein shamil hain.
Homi
Adajania aur Kersi Khambatta likhi iss kahani ke paanch khaas kirdaar hain:
Pehla,
aur sabse senior, Ferdie, yaane Naseerudin Shah. Fredie akela hain, udaas hain
aur zindagi se bezaar bhi.
Doosri,
Rosie, yaane Dimple Kapadia. Rosie Pocolim ki shaan hain aur sab ki raazdaar
bhi.
Teesri,
Angie, yaane Deepika Paukone. Angie hasmukh hain, humdard hain aur kahani ki
sutradhar bhi.
Chautha,
Savio, yaane Arjun Kapoor, jo thoda confused aur thoda budhu hain.
Paanchva,
Don Pedro, yaane Pankaj Kapoor.
Pedro artist hain aur apne aap se bohat
prabhavit hain.
Ek
din, Fredie ki zindagi mein aisa kuch ho jata hain, jiski wajah se, Freddie ko
Pocolim ke bahar jaana padata hain.
Freddie
ko iss safar mein chahiye Angie ka saath...
Angie
ko zaroorat hai Savio ki madad ki …
Savio,
Pedro ki ijaazat ke bagair koi vaada nahi kar sakta…
Aur
Pedro, Rosie ki rajamandi ke bagair kuch karna nahi chahta…
Chakkar
pe chakkar hain, aur jasbaadon ki guthli mein chuppaye hain rishtey…
Film
ka plus, film ki casting, characterizations aur performances hain…
Naseerudin
Shah aur Deepika Pdukone ki khaas chemistry aur Dimple Kapadia, Pankaj Kapoor
ki khaas adayein.
Being Cyrus
aur Cocktail ke baad, director Homi
Adajania Finding Fanny mein, ek baar
phir, samma bandh lete hain!
Jis
tarha se baarish mein bhutta aur thandi mein paratha khane ka ek mood banta
hain...
Ussi
tarha se, Finding Fanny dekhne ka bhi
ek khaas mood banta hain...
Finding Fanny
ko humare dil aur dimaag refresh kar neke liye, Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars.