Kannu
Behl likhi directed Titli kahani hai
Dilli ke Jawahar Nagar mein rehte ek pariwar ki.
Daddyji,
yaane Lalit Behl, tandurast hai magar retired hai aur pura din ya toh radio
sunte hai ya phir TV dekhte hai.
Bada
beta Vikram, yaane Ranvir Shorey, ghar grahasthi, shaadi aur dal roti ki
zimmedaari se pareshan hai…
Manjhla
beta Pradeep, yaane Amit Sai, kabhi bade bhai to shaant karane mein aur kabhi
chotte bhai ko samjhane mein jhunjhta hai…
Aur
chotta beta Titli sabse bezaar hai aur shayad isi liye bolta kum aur sochta
zyaada hai…
Film ka
plus: film ki sachai aur performances. Ranveer Shorey ke alava, naye kalakar,
Shashank Arora aur Shivani Raghuvanshi talented hai…
Film ka
minus: film neem se zyaada kadvi aur raat se zyaadi kaali hai.
Agar aap
ko manoranjan ki talash hai toh Titli
aap ke liye nahi hai.
Haan
magar agar aap Dilli ki kaddi dhoop mein scooter par sawaar hokar, wahan ki
sachai jaan na
chahte ho, toh Titli aap
ke liye hai…
Titli ko Big Entertainment Ratings
milte hai 2.5 stars.
**
Praval
Raman likhi directed Main aur Charles ,
1980 ke dashak mein sabse zyaada surkhiyon mein rahe criminal Charles Sobhraj
ki jeevan gaatha hai.
Thailand,
Dilli aur Maharashtra mein shoot ki gayi ye film, hume Charles Sobhraj aur
unkie jeevan mein aayein logon ka parichay karwati hai.
Film ka
plus: film ki anokhi shot taking, cinematography, editing aur detailed
research.
Film ka
minus agar isse minus kaha jaayein toh 2 ghante 10 minute ke baad, hum Charles
se jud nahi paate aur wo shayad isliye bhi, ki Charles kissi se nahi judta!
Main aur Charles dekhni chahiye Richa Chadha ke sirf
ek scene ke liye…Jab wo police station mein tudti hai!
Police
inspector ki bhumika mein Adil Hussain ke mature portrayal aur aatma vishwas ke
liye…
Aur
sabse badhkar, ek anokhe roop mein, Randeep Hooda ke liye…
Randeep,
Charles ki mano-sthithi aur chaturai ko apnate hai, uske swaarth aur kathorta
ko, bina jasbaad, sthirrta se pesh karte hai.
Charles aur Main ko Big Entertainment Ratings
milte hai 3.5 stars.
@bhawanasomaaya