Leave your brains for Shaukeen carry your heart for
Rang Rassiya.
7/11/2014
Jayantilal Gada presented aur Ketan Mehta directed Rang Rassiya kahani hain Hindustan ke
pehle mashoor painter Raja Ravi Verma ki.
Ek chotta balak mandir ki deewar par haathi ka
chitra banata hain aur Keral ke raaja ki
nazar mein aata hain.
Kalimanor se shuru hui ye kahani, Madras men palti
hain. Travancore ke raaja ki chatrachaya mein chitrakaar Ravi desh bhar ghumte
hain aur Banaras, Rajasthan, Khajuraho ki kahaniyaan apne chitra mein pesh
karte hain.
Rang
Rassiya ek chitrakar ki jeevan gaatha toh hain hi, saath hi
mein, us daur ka saamajik aaina bhi!
Kya ek kalakar ko rajneeti aur dharam ke bandhan mein
bandh na sahi hain..? Kya kissi prerna ka, kalaakar ki kalpana ke bahar koi
astitva hota hain..?
Sau saal pehle jisse hum ashleelta kehte thhe, wo
aaj naitikta hain... Sau saa pehle jisse hum acchoot pukarte thhe, aaj aisa
sochna bhi gunah hain!
Film ka minus film ka screenplay hain. Ravi Verma ki
zindagi jis raftaar se bhaagti hain koi bhi jasbaad dil mein nahi theharta.
Film ka plus film ki cinematography, Sandesh
Shandaliya ka sangit, Nitin Chandrakant Desai ka production design. Aasmaan
mein udti patange…raaste mein bhaagti buggiyaan …parbaton se jhumte jharne aur
diye talle magnna do premee…
Randeep Hooda ke performance mein Ravi Verma ki
sachai hain aur Nandana Sen mein unki prerna Sugandha ki sundarta.
Ketan Mehta ki Rang
Rassiya rang aur rass se bharpur hain… Kala ke rang aur vicharon ke rass…
Rang
Rassiya ko Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars.
___________________________________________________________________
Murad -Ashwin Varde produced, Abhishek Sharma
directed The Shaukeens Dilli ke teen
buzurg doston ki kahani hain, jo wo sab kuch karna chahte hain, jo unhone ab
tak nahi kiya.
Wo har subah, varrdish ke bahane, jawan ladkiyon ko
ghurrte hain aur apne kaam ke dauran iss se bhi burri harkate karte hain.
Teeno dost Mauritius jaane ka plan banate hain,
jahan unki mulakate hoti hain khubsoorat Aahana, yaane Lisa Haydon se.
Aaahana ko filmstar Akshay Kumar mein dilchaspi hain
aur buddhon ko Aahana mein. Film ka idea Basu Chaterjee ki saal 1982 ki Shaukeen se prerit hain magar film adaptation
nahi hain.
Basu Chaterjee ki Shaukeen adventure ke baare mein thi, Abhishek Sharma ki The Shaukeens hawas ke baare mein hain.
Writer Tigmanshu Dhulia ne samay ke anusar kahani ko
badla hain isliye isme bikini, beaches, chamapne, clubs, facebook, fanmail toh
hain hi, magar saath mein, ek film star ki kahani ko bhi joda hain.
Film ka plus Anupam Kher, Annu Kapoor aur dil
kholkar apna mazak udaate hue, Akshay Kumar. Film ka minus aap film dekhkar samajh jaayoge.
Saal 1982 mein teen buddhon ka shaukh farmane Goa
jaana samajh mein aata hain, magar saal 2014 mein, unka ek hi baat ke liye itna pagal hona hazam nahi
hota!
The Shaukeens
behad silly hain magar foolishly funny bhi!! Bas khayal rahein ki dimaag ko
apne saath theatre na le jaiyeein.
The Shaukeens
ko Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars.
Bhawana Somaaya/ @bhawanasomaaya