Friday 9 March 2012

Story to remember...


Namaskar - Cinema Review mein - main Bhawana Somaaya - aapka swagat karti hoon…

Iss hafte do releases hain - ek thriller Kahaani aur doosri romantic comedy Chaar Din Ki
Chandani.



Pehle baat karte hai Chaar Din Ki Chandani ki - Producer director Samir Karnik ne peechle saal - 3 Deols ki  - Yamla Pagla Deewana di thi.

Iss baar Samir Karnik 2 Singh pariwar ki kahani laaye hai.

Pehla Singh - Rajasthan wala - jahan Anupam Kher ka rajwada hai aur wo apne aapko His Highess kehte hai.

Doosra Singh - sardaron wala - jahan Om Puri Amritsar mein baste hai - aur baaki Punjabiyon ki tarha gaaliyon ke bagair baat nahi karte.

Aur ye dono Singh ko milate hai unke hi bachche - yaane Tusshar Kapoor aur Kulraj Randhawa.

Tusshar London se Rajasthan apni eklauti behan ki shaadi ke liye aata hai…

Aur kyon ki Kulraj ne aaj tak - koi royal wedding nahi dekhi hai - wo bhi Tusshar ke
saath saath Rajasthan aati hai.

Film iss char din ki chandani ki kahani hai…

Film ka first half - mele ke giant wheel ki tarha - bohat fast aur entertaining hai aur interval tak aap has haskar pagal ho jaoge.

Post interval - film mein drop aata hai - magar Sandesh Shandaliya ka music, Bosco Ceasar ki choreography aur film ka climax - aapko jakkadkar rakhte hai.

Chaar Din Ki Chandani routine comedy se hatkar - class, caste jaise samajik muddon par
vivaad karti hai- wo bhi bhashan ki tarha nahi - film ke sur mein!

Film ki likhawat - saare performances -Anupam Kher, Om Puri, Anita Raaj in a come back appearance, Tusshar Kapoor aur Kulraj Randhawa - hilarious hai.

Film mein Yash Raj Films ki Chandani ka titletrack istimaal kiya gaya hai -

Aur Kulraj - nayi adakara hote hue - Sridevi ke taqqar mein naachi hai.

Itna hi nahi - climax mein - Seeta aur Geeta ki Hema Malini ki tarha - Kulraj ne action
sequences bhi kiyye hai.

1960 mein ek film bani thi Ek Phool Chaar Kaante -jismein - Sunil Dutt Waheeda Rehman ko paane ke liye - unke chachaon ke dil jeetne padte hai.

Ismein - Tusshar Kapoor ke chaar bhai hai - Kulraj ko - Tusshar ko pane ke pehle - charon se sambhal ke rehna padta hai.

Chaar Din Ki Chandani ko milte hai 3 stars.

******************************************************************

Ab baat karte hai - doosri film - yaane Viacom 18 produced aur Sujoy Ghosh directed Kahaani ki.

Ek pregnant aurat - Kolkatta Airport se bahar nikalti hai...

Ek haath mein paani ki bottle - doosra haath trolley ko khichte hue - wo taxi rokti hai!

Taxi driver hairan hai kyon ki usually log - airport se seedha hotel - ya ghar jaate hai…

Magar ye passenger - directly police station jaati hai. Usse complain likhwani hai - apne lapatta pati ki.

Naam -Vidya Bagchi.

Profession -softwear engineer.

Rahne ka shehar - London.

Kolkatta aane ki wajah - pati Arnab Bagchi ki talash.

Details - Arnab assignment ke liye Kolkatta aaye the - Kuch hafte regular contact mein
rehne ke baad - wo achanak gayab ho jate hain.!

Ab Vidya wo saari jagah - aur logon se milna chahti hai - jisse Arnab ka wasta tha.

Isliyye Police Station se Guest House - jahan wo thehre the... National Data Centre -
Jahan wo kaam karte the… Arnab ke door ke Kaku ke ghar aur bharose mand khabbri…

Magar kahin se - Arnab ki koi khabar nahi - koi record nahi!

Film ka premise interesting hai - phir bhi - ek hadh ke baad - protagonist ka mission -
aur state of mind - repetitive ho jaata hai !

Kuch sawalon ke jawab nahi milte...Aur kuch gutti nahi sulajhti...

Mere hisab se film ka asli hero - film ke technicians' hai…

Sabse pehle cameraman Setu - jinhone humme Bengal ki khushbu aur mitti ka parichay
karwaya…

Jiss expertise se unhone Gawhati ki tang sadkein - aur Kolkatta ki bheed bharri
gulliyon - ke beech film ko shoot kiya hai wo qabile taarif hai !

Zyadatar outdoor shoots hai - aur wo bhi public places mein - jaise market - metro -
tram depot - puja pandaal - aur yehi film ki highlight hai!

Iske alava - film ka art direction - action - background score - Amitabh Bachchan ka voice over - song rendition 'Ekla chalo re…..' Chotte se chotte kirdar ka performance spectacular hai!

Parineeta se Dirty Picture - ke lambe safar ke baad - Vidya Balan - Maa Durga ki
tarha aati hai - barasti hai - aur karya samapt hone par - chali jaati hai !

Aisi mushqil film sochneke liye aur banana ke liye - main producer Jayantilal Gadha - aur writer director 

Sujoy Ghosh ko main salaam karti hoon.
Kahaani ko milte hai 3.5 stars

The review appears as it is on Cinema Review on Zee Cinema, Fridays 9PM.
In an edited version over weekends on 92.7 Big FM



1 comment: