Bachchan
Rocks
UTV
produced aur Prakash Jha directed Satyagrah
bhrashtachar ke khilaaf aandolan ki kahani hain. 30.8.13,Mumbai
Dwarka
Anand urff Dadu / Amitabh Bachchan Ambikapur
ke retired principal hain jo ab mohalle ke bachon ko apne aangan mein padhate
hain.
Unka
beta Akhilesh imandar engineer hain aur uski patni Sumitra /Amrita Rao bauji ke
sunghrsh mein shamil hain.
Manav
yaane Ajay Devgn, Akhilesh ka dost hain magar uski soch aur sapne Akhilesh se
alag hain!
Arjun
Rampal Ambikapur ka joshila leader hai aur Manoj Bajpai corrupt politician.
Yasmin
Ahmed/ Kareena Kapoor aaj ke daur ki
News Editor hain jo dimag ke saath dil ki awaaz bhi sunti hain.
Kranti 7
pahado se paar karke aati hain: Jagrutta – logon ka juttna – unka junoon –
virodh - aapsi matbhed –samajik uthal-puthal aur aakhir mein - solution!
Satyagrah hume ye 7 pahado se parichit
karwati hain, sirf interval ke baad film naare baazi mein bikhar jaati hain.
Multistar
hone ke bawajood, director sabhi ke saath nyay karte hain .
Magar theatre
se bahar nikalkar aap sirf ek ke baare mein sochte ho - bachon ke dadu yaane - Amitabh Bachchan.
Kuch
drishya aapki aankhon se ojhal nahi hote hain…
…Jab wo
sarkari karamchari ko thappad marte hain…jab wo nirdesh dete hai…jab wo apne
bĂȘte ke gham mein tut-te hai…aur jab wo anushasan par utarte hai…!!
Prakash Jha ki filmein zyadatar samajik mudon
par hoti hain – crowd scenes, violence, prachar- jo kuch hadh tak film ko boring
bana deti hai.
Satyagrah mein bhi ye sab hain aur iske
alava - adarsh, sangit, rishte, prem aur karuna rassa!
Satyagrah ko Big Entertainment Ratings
milte hai 3.5 stars.
Bhawana Somaaya / @bhawanasomaaya