Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 167
Chennai Express :Crazy but works
09.8.2013, Mumbai
UTV -
Red Chillies produced aur Rohit Shetty directed Chennai Express kismet connection ki kahani hain.
North ke
halwai dukan ka eklauta waris, Rahul apne dadaji ki ashthiyaan lekar Goa ke liye rawana hota hain magar chadhta
hain Chennai Express mein.
South ke
chotte gaon ki Meenama jaana chahti hai apni saheli ko milne Pune, magar galti
se pakadti hain Chennai Express.
Train ke
safar mein kuch aisa ho jata hain ki do ajnabee, isharo mein gaana gaate hain
aur yahan se shuruaat hoti hain unke anginat asafal plans ki.
Film ki
story, screenplay, dialogues, music, choreography, performances, aur action ka
sirf ek motive hain – entertainment!
Chennai Express apne genre ki pehli mainstream film
hain, jisme Tamil aur Angrezi bhasha ke bawajood, subtitles ki zaroorat nahi padti.
Aisi
film ka seriously review karna darshak ko mislead karna hoga. Meri raii hain ki
darshak apna dil/dimag/soch ghar pe chodkar, iss
action packed drama ka popcorn ke saath maza le!
Deepika
Padukone Sholay ki Hema Malini ki
yaad dilati hain aur ShahRukh Khan DDLJ
ke Raj ki….
Fark
itna hai ki director Rohit Shetty sarson ke khet aur Switzerland ki fizaein ke
bajai, aapko Kanyakumari ki Kathakali aur Rameshwar ke mandir ki sairr karate
hain.
Unki
heroine chiffon sadi nahi, rangeen ghagra choli mein nachti hain! Hero hatte-
katthe villain ko maarta hai aur sensless comedy se aapka dil bhelaata hai.
Chennai Express
ko Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars
No comments:
Post a Comment