Friday, 30 August 2013

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 181



Bachchan Rocks

30.8.13,Mumbai



UTV produced aur Prakash Jha directed Satyagrah bhrashtachar ke khilaaf aandolan ki kahani hain.
Dwarka Anand urff  Dadu / Amitabh Bachchan Ambikapur ke retired principal hain jo ab mohalle ke bachon ko apne aangan mein padhate hain.
Unka beta Akhilesh imandar engineer hain aur uski patni Sumitra /Amrita Rao bauji ke sunghrsh mein shamil hain.
Manav yaane Ajay Devgn, Akhilesh ka dost hain magar uski soch aur sapne Akhilesh se alag hain!
Arjun Rampal Ambikapur ka joshila leader hai aur Manoj Bajpai corrupt politician.
Yasmin Ahmed/ Kareena Kapoor aaj ke daur  ki News Editor hain jo dimag ke saath dil ki awaaz bhi sunti hain.
Kranti 7 pahado se paar karke aati hain: Jagrutta – logon ka juttna – unka junoon – virodh - aapsi matbhed –samajik uthal-puthal aur aakhir mein - solution!
Satyagrah hume ye 7 pahado se parichit karwati hain, sirf interval ke baad film naare baazi mein bikhar jaati hain.
Multistar hone ke bawajood, director sabhi ke saath nyay karte hain .
Magar theatre se bahar nikalkar aap sirf ek ke baare mein sochte ho -  bachon ke dadu yaane - Amitabh Bachchan.
Kuch drishya aapki aankhon se ojhal nahi hote hain…
…Jab wo sarkari karamchari ko thappad marte hain…jab wo nirdesh dete hai…jab wo apne bĂȘte ke gham mein tut-te hai…aur jab wo anushasan par utarte hai…!!
 Prakash Jha ki filmein zyadatar samajik mudon par hoti hain – crowd scenes, violence, prachar- jo kuch hadh tak film ko boring bana deti hai.
Satyagrah mein bhi ye sab hain aur iske alava - adarsh, sangit, rishte, prem aur karuna rassa!
Satyagrah ko Big Entertainment Ratings milte hai 3.5 stars.

Bhawana Somaaya / @bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment