Badlapur: Varun sizzles, Nawaz sparkles
20/2/2015
Dinesh Vijan produced aur Sriram Raghavan directed Badlapur kahani hain Raghav/ Varun Dhawan aur Misha/ Yami
Gautam ki jo apni zindagi mein behad khush hain, jab achanak, ek haadsa sab
kuch badal deta hain.
Film ke promotions mein bataya gaya hain ke film ka
opening scene important hain, balke film ka attraction film ka beginning aur film
ka end hain.
Iske alava film ke authentic locations aur saare
kirdaar, jaise ek naye roop mein Divya Dutta aur Jhilmil ki bhumika mein shaant
aur suljhi hui Huma Qureshi.
Film ka minus film ka overtly negative plot, violent
narrative aur ek hi sur mein chalne wali kahanai.
Writer Sridhar Raghavan badle ki bhavna mein kuch
iss tarha se kho jaate hain ki baaki rishtey ko bikul bhul jaate hain.
Rahav 15 saal
agyaat vaas mein bitata hain aur kissi ko nahi milta ,magar Raghav ka pariwar/dost/
professional contacts usse kabhi kyon contact nahi karte?
Mana ki sadma logon ko badal deta hain, magar aise
extreme reactions bagair medical history illogical hain!
Aur ek baat,
agar jail mein basse accused ke welfare liye NGO hain toh victim ke liye
psychiatric treatment kyon nahi hain?
Duvidha ye
hain ki aisi film ke 10 reel tak maar peet/khoon kharaba dikhane ke bad aapko aakhri reel mein gyaan
de toh kya isse hum positive film kahenge?
Faisla aap ko karna hain.
Sawal ye hain
ki kya Badlapur dekhni chahiye, bilkul dekhni chahiye, Varun Dhawan ke angry
man performance liye aur Nawazudin Siddiqui ke master craft ke liye.
Jab Nawaz screen par hain aap uske alava kuch nahi
dekh sakte ho!
Badlapur
ko Big Entertainment Ratings milte
hain 2.5 stars.
Bhawana Somaaya / @bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment