Friday, 13 February 2015

Cutting Chai with Bhawana SOmaaya - Day 528

'Roy' is complex and intriguing.
13/2/2015

T series produced aur Vikramjit Singh likhi directed Roy ek aur kahani hain mayanagri aur vastavikta ki.

Ek aur kahani cinema banane wale nirdeshak aur uski kalpana ki.

Ek kalaakar apne zehan se, ek kirdaar ki rachna karta hain aur dheere dheere, usiki rachna, uski zindagi ka hissa ban jaata hain.

Sawal ye hain ki kya kalaakar wo rachta hain, jo wo apni zindagi mein chahta hain? Ya phir, uski rachna uss se apni manmaani karwati hain?

Film ka nayak Kabir, yane Arjun Rampal, ek nirdeshak hain. Arjun ki film ka nayak Roy, yaane Ranbir Kapoor ek chor, hain.

Arjun ki prerna Aisha/ Jacqueline Fernandes hain aur Ranbir ki prerna Tia bhi Jaqueline Fernandes hain.

Film bahtareen likhi aur stylishly shoot ki gayi hain. Film ke refreshing locations, realistic art direction aur khoobsurat cinematography film ke plus hain.

Director details ko ahmiyat dete hain, apne har kirdaar ki choti se choti baat ka kahayal rakhte hain jiski wajah se saare performances unique aur interesting hain.

AD ki bhumika mein Shernaz Patel ki sanjidgi, director ki bhumika mein Arjun ke jasbaadi uttar chadhaav aur chor ki bhumika mein, Ranbir ki soch aur khamoshiyaan, aap ke dil mein utar aaatie hain!

Jacqueline Fernandes ke dono kirdaar Aisha aur Tia Hindi cinema ke double roles ko nayi disha dete hain.

Roy lambi hain, dheemi hain, confusing hain, complex bhi hain kyon ki film vishay ke hisab se banti hain.

Kuch filmein hum popcorn khaate, baat cheet karte dekhte hain...Roy unn filmo mein se nahi hain…!
Ismein har ehsaas, haule se izhaar kiya gaya hain…Roy sammaa bandhti hain…Thehraav maangti hain…!!

Isse aise logo ke saath dekhiye, jo cinema ko aap jitna hi pasand karte hain, kahani mein aap jitni hi dilchaspi rakhte hain.

Debut director Vikramjit Singh ko dilchasp aur anokhi Roy ke liye Big Entertainment Ratings milte hain 3.5

No comments:

Post a Comment