Saturday 5 November 2011

Boring Week.

Namaskar. Cinema Review mein - main Bhawana Somaaya aap ka swagat karti hoon.
Do din baad Tulsi Vivaah hain aur iss tehvar ke hafte mein teen filmein release hone jaa rahi hain.


Pehli producer Jaiprakash aur director Ambrish Singhal ki dus saal purani aur dibben mein bandh Tension Door.Com.
Gopal gaon se shehar jaane ke dauran achanak - apni sunneki shakti kho baithta hain.
Bohat doctoron ko dikhane ke bawajood Gopal ka ilaaj nahi hota.
Phir ek din achanak - Gopal sunne lagta hain aur saath saath logon ke dil ki baat bhi padh sakta hain.
Gopal ka dost - ussse apni shakti ka sahi upyog karneka rasta batata hain.
Gopal aur uska dost - ek dukan kholte hain - jahan sabke tension wo door karte hain!

Agar aap apne sunne - aur sehan karneki shakti ko salamat rakhna chahte hain- to film se kosso door rahiye warna tension to door ki baat hain -aapko migrane guaranteed hoga!.
Tension Door. Com ko ek bhi star nahi milta

Jab Loot shuru hoti hain to aisa lagta hain ke producer Sunil Shetty ko kuch naya karne ja rahe hain.
Ek bhi bada star na hote hue star cast interesting hain aur characters well sketched.
Kahani char choron ki hain jo hamesha kuch na kuch gadbad karte rehte hain.
Unke boss Dalip Tahil unko ek mission ke liye Pataya bhejte hain.
Pataya mein Ravi Kissen Ghalib padhta hain aur Mahesh Manjrekar par nazar rakhta hain.
Manjrekar aate jaate goli chalata hain aur apne boss Prem Chopra ko khatam karneka plan banata rehta hain.
Prem Chopra Dalip Tahil ka dushman hain aur Dalip Tahil teenon heroe ke dushman.
Prem Chopra video pe Pakeezah dekhte rehte hain aur aadmiyon se qatal karwate hain.

Dhai ghante tak – saare actors Mumbai se pataya aur wapas Mumbai ghumte rehte hain bagair kissi loot ya anjaam ke.
Film ki writing crass hain aur dialogues zaroorat se zyada crude.
Kahani ka na sarr hain –na paun – na dil – na dimaag!
Loot ko milte hain keval ek1* star

Producer Anuj Saxena aur director Tanveer Khan ki Miley Na Miley Hum ek saaf suthri parivarik kahani hain - jo na kahi se adapted hain - na remake hain - aur na hi kissi Hollywood film se churayi gayi hain.
Ek muddat ke baad hum ek original kahani dekhte hain aur sirf iss baat ke liye - writer director Tanveer Khan ko daat deni chahiyye.
Film ka hero Chirag Paswan – apne maa baap Poonam Dhillon aur Kabir Bedi ka beta hain jo alag rehte hain.
Chirag ek mahina apni maa ke saath aur ek mahina apne pita ke saath guzarta hain aur dono ko beshumar pyaar karta hain.
Poonam aur Kabir ke apne bete ke liye bohat saare sapne hain aur Chirag ke apne khud ke liye alag sapne hain…
Chirag agar maa ke sapne purre karta hain to baap naraz hota hain aur baap ke sapne purre karta hain to maa ruth jaati hain…
Aise mein Chirag - Kangana Ranaut ka saath - ek plan banata hain - aur ye plan - film ki USP hain.
Beshaq Chirag aur Kangana ke beech rishta aur bhi khupsurat hosakta tha, film thodi edit bhi hosakti thi. 

Iske bawajood Sajid Wajid ka music, Javed Akhtar ke lyrics, Baba Azmi ki cinematography aap ko pakad ke rakhti hain.
Maa ki bhumika mein Poonam Dhillon sincere hain aur neeli aankhon wala naya chehra Chirag Paswan pehli film ke liye impressive!
Miley Na Miley Hum ko milte hain 2** n half stars.

To ye thi iss hafte ki releases. Agle hafte phir mulaqat hogi. Tabtak ke liye mujhe dijiye ijaazat. Namaskar.


Cinema Review / Zee Cinema Friday 9PM
92.7 Big FM Saturday-Sunday   

No comments:

Post a Comment