Sunday, 22 April 2012

Super response to Vicky Donor...Hate Story is more than erotica


Namaskar – Cinema Review mein – main Bhawana Somaaya - aapka swagat karti hoon...
Iss hafte do releases hain – pehli thriller - Hate Story aur doosri comedy Vicky Donor.

Pehle baat karte hai Vicky Donor ki…


Dr Chadha – New Delhi ke Daryaganj mein - Fertility Clinic chalate hai - aur saath mein - ek
Sperm Bank bhi…

Bohat saare be-aulaad couples unki clinic umeed lekar aate hain aur mayoos hokar chale jaate hain...
Vicky Arrora – Lajpat Nagar ke Refugee colony mein – apni maa aur dadi ke saath barsaati mein rehta hai.

Vicky ki maa Dolly - beauty parlour chalati hai - aur Vicky ki daadi -yaane Bijji - Head of the family hone ke haqq se - ghar mein hokum chalati hai…

Vicky din ko malls mein ghumta hai - shaam ko cricket khelta hai - aur raat mein - doston
ke saath party manata hain.

Ab itne vyast schedule ke baad - zahir hai Vicky ko naukri dhundh ne ke liya samay nahi milta -
Jo uska pariwar nahi samajhta.

Vicky ki uljhan suljhane ke liye Dr Chadha Vicky ko ek proposal dete hai - aur bohat minnato ke
baad - Vicky proposal ko sweekar leta hai.

Ab Vicky Arrora ke paas sab kuch hai - paisa - marramat kiya hua ghar - chamakta beauty
parlour - gaadi - pariwar ka respect aur Anshuma ka pyaar!

Interval tak – film rocket ki tarha chalti hai -
Aur aapko hassa hassakar pagal kar deti hai.

Khas taurpe Vicky ki maa Dolly aur Bijji - jo din mein saas bahu ki noke jhok karti hai - aur raat mein – doston ki tarha shaukh farmati hain.

Film ka second half - naye characters aur naye mudde uthata hain - Aur purane muddon ko anjaam deta hai .
Iski wajah se film mein halka sa drop aata hai - Film ka Vishay adbhoot hai – aisa subject Hindi cinema mein humne aaj tak nahi dekha hai.

Writer Juhi Chaturvedi ki natural likhawat – hume characters se iss tarha se kareeb laati hai -
mano ye kirdaar nahi - humare rishtedar ho.

Saare actors – Anu Kapoor, Ayushmann, Bijji, Dolly aur nayi heroine Yami Gautam ne bahtareen kaam kiya hai.

Director Shoojit Sarkar ki khasiyat ye hai - ke wo urban zindagi se judde - stress aur infertility jaise aham mudein uthati hai.

Unki ye refreshing film ke liye - main unko aur producer John Abraham ko sabashi deti hoon.
Aisi mazedaar aur vicchar-uttejit Vicky Donor ko milte hai 3.5 stars.

*************************************************************************

Ab baat karte hai Hate Story ki…


Vikram Bhatt likhit aur Vivek Agnihotri directed Hate Story kahani hai – ek madhyam vargiya
asadharan ladki - Kaavya ki.

Kaavya investigative journalist hai aur apne newspaper ke liye business tycoon Sidharth Kumar par sting operation karti hai.

Sidharth Kaavya ki kabiliyaat se impress hokar usse apni company mein naukri offer karta hai.

Kaavya unki company ke liye ek bohat mushkil aur bohat badi deal haasil karti hai.

Sidharth Kaavya ko propose karta hai.

Sab kuch itna jaldi hota hai - ek sapna sa lagta hai...!

Aur aisa hi hai… Kaavya ko pata chalta hai - ki Siddharth use badla le raha hai - aur wahan se shuru hoti hai - do barbadiyon ki kahani...

Suspense filmein hamesha - kisne kisko kyon maara ki kahani hoti hain...

Hate Story aisi anokhi thriller hai – jahan audience ko saare jawab pehle se malum hai!

Ye film kyon se zyada kaise - aur maarne se zyaada - ek doosre ko todne ki kahani hai !

Iss do ghante aur 20 minute ki film mein - writer director aap par beshumar pathar phenkte hai…

Kabhi Rohit Malhotra ke raungte khade karne wale dialogues se…

...kabhi Amar Mohile ke dhadkan badha dene wale background music se…

...kabhi Satyajeet Gazmer ki upsetting editing se...
...aur kabhi Aslam Ali ke khaufnak action se… Hala ke film ke
locations - costumes - lyrics aur music - shaandar hai…

Aur lead actors Gulshan Devaiya aur Paoli Dam ne lajawaab kaam kiya hai.

Hate Story erotic - masaledar - dramatic - sensational aur gripping hai...

Magar aitiyaad rahe ki film hadh se zyaada disturbing bhi hai…!

Vikram Bhatt ne aisi bohat saari filmein banayi hai.
Magar director Vivek Agnihotri ke career ki ye shayad pehli aisi thriller hai.

Hate Story ko hume dara dhamkakar stabdh karne ke liye milte hai 3.5 stars.

Toh ye thi iss hafte ki releases - agle hafte phir mulaqat hogi - tab tak ke liye mujhe
dijiye  ijaazat - Namaskar.

The review appears as it is on Cinema Review on Zee Cinema, Fridays 9PM.
In an edited version over weekends on 92.7 Big FM

1 comment: