Saturday, 28 April 2012

Life ki toh tezzi se lag gayi!!!!


Namaskar – Cinema Review mein – main Bhawana Somaaya - aapka swagat karti hoon.




Iss hafte do releases hain - ek Comedy aur doosri Action.


Pehle baat karte hain Comedy -Life Ki Toh Lag Gayi ki...




Ye kahani hai Mumbai shehar ke ek din - aur chaar kirdaaron ki – jahan sab ko kissi na kissi ki
talash hai…

Salman - yaane Kay Kay Menon ko talash hai apne maa baap ke qatilon ki…
ACP Chautaliyaan - yaane Manu Rishi ko talash hai drug peddlers ki - aur woh bhi 24 ghante ke
andar…
Amol - yaane Ranvir Shorey ko talash hai apni mashukha Dolly ki…

Kahani chaar tracks - anginat subplots - disconnected episodes aur bewajood muddon mein  bikhar jaati hain...
Ye saari uljhanon ke bawajood climax mein- har kirdaar - kissi na kissi tarha se apni manzil paa leta hain…
Sivaay audience ke…!

Cinema hall se bahar nikalkar hum writer director Rakesh Mehta se puchte hai…life ki aisi kaisi aur kyu lagi

Life Ki Toh Lag Gayi ko milta hai 1 star.

***************************************************************

Ab baat karte hain Ratan Jain produced aur Priyadarshan directed - Tezz ki.



Film shuru hoti hai London ke court mein - jahan Akash Rehna - yaane Ajay Devgan ko illegal migrant hone ke jurrm mein – India deport kiya jaata hain.

Akash London apni patni ki talash mein wapas lautta hai ek plan ke saath…
Usse wo sab kuch chahiye - jo use cheen liya gaya tha…!

Aur uski madad karte hain - uske purane saathi - Aadil aur Megha - yaane Zayed Khan aur Sameera Reddy.
Teenon milkar Glasgow se London jaati hui train mein bomb fix karte hain…
Aur Boman Irani – jo Railway Security ke chief hain – ko blackmail karte hain!

Boman ki madad ke liye bheja jaata hain Counter Terrorist Command Arjun Khanna yaane Anil
Kapoor ko.

Ab - Ajay - Boman ke peeche hain- paise ke liye…
Boman sarkar ke peeche hain ransome money organize karne ke liye…
Anil - Ajay ke peeche hain - usse giraftaar karne ke liye…

Kyon ki film ka naam Tezz hain – saare kirdaar – saari gaadiyaan - motorbikes- water boats - trains aur helicopter tezise bhagte hain…
Kyon ki film ka action -Harry Potter & The Deathly Hallows ke stunt director ne kiya
hain - har scene mein - wajah ho na ho - stunts dale gaye hain!

Aur kyon ki film England mein shoot ki gayi hai - zyadatar characters khas taurpe Anil Kapoor angrezi mein hi bolte hain.

Film mein beshumar paise kharch kiya gaya hain…

England ke bahtareen locations - dare devil stunts – Mallika Sherewat ka sizzling item number – aur Sajid Wajid ka melodious music...
Kaash…producer ek logical kahaani bhi kharid lete…!

Director Priyadarshan apne saare manchaahe actors ko ek saath laaye hain.
Kaash…unke saath - thodasa nyay bhi kar dete…! -
Malyalam superstar Mohanlal - kab aate hain aur kab chale jaate hain pata bhi nahi chalta.

Aap ka zyaada samay vyast na karte hue - tezzi se main Tezz ko 2 star ailaan karti hoon.

To ye thi iss hafte ki releases - agle hafte phir mulaqat hogi - tab tak ke liye mujhe dijiye ijaazat… Namaskar.



The review appears as it is on Cinema Review on Zee Cinema, Fridays 9PM.
In an edited version over weekends on 92.7 Big FM

No comments:

Post a Comment