Monday, 7 May 2012

Fatso - an imagination & Jannat 2 - violent



Namaskar - Cinema Review mein - main Bhawana Somaaya - aapka swagat karti hoon.


Aaj Buddhh Purnima hain. Iss din Siddharth Gautam ko nirvana mila tha.

Ittefaq se iss hafte ki dono filmein - kuch khone talashne - aur moh maaya ke bandhanon ke baare mein hain.

Pehle baat karte hain Rangita Nandy produced aur Rajat Kapoor directed Fatso ki.

Tannu -Yash - Naveen - Nandini aur motta Suddip ache dost hain.
Ek din - Naveen - car accident mein achanak maara jaata hain!

Ab Naveen - ek doosri duniya mein aankhein kholta hai!!
Yahan usse pata chalta hain ki marna usse nahi - uske dost Sudeep ko tha - aur usse galti se upar laya gaya hai.
Ab samasya ko suljhane ke liye - Naveen -yaane Purab Kohli ko - motte Sudeep - yaane Ranvir
Shorey ke shareer mein pravesh kiya jaata hain...

Kahani bohat mazedar hain - aur uss se bhi dilchasp hain director ki vichardhara.

Writers Saurabh Shukla aur Rajat Kapoor jeevan - mrityu ko ek hasmukh paribhasha dete hain.

Unki kalpanik duniya mein na swarg hain - na narag - na devta hain -na daanav!

Haan k-a-a-l nischitt hai - isliye accident nimmit samay par hota hai!!


 Yaatri ko le jaane ke liye yamraj bhi haazir hai - do singh lagaye - zor se hasne wala yamraj nahi - ek sadharan rahgir...

Sab ko patta hain ki aatma akele safar karti hai - aur humne usse abtak tv serial aur kitabon mein -badalon mein safar karte dekha hai...

Rajat Kapoor Naveen ki aatma ko summsaan rail gaadi se aakhri station pohchate hain.

Rajendra Kumar ki purani film Jhuk Gaya Aasmaan mein bhi aisa kuch hua tha…

Rajat Kapoor ki khasiyat ye hai ki wo plot se zyaada kalapana aur ehsaas ko ahmiyat dete hain.
Film ki writing- treatment-locations- situations-costumes effortlessly natural hai
Aur Gul Panag - Purab Kohli real life couple lagte hain...

Film ki kuch imageries aur baatein aap ki soch ke bahar hain: Jaise swarag narag ke beech ka waiting room aur wahan ka vatavaran…

Kuch dialogues kamaal ke hain…jaise samay ya insaan jab guzar jaata hain - to kahi to jaata hoga…?

Kuch pal yaadgaar hain - jaise Ranvir Shorey ka breathless monologue jo bahtareen likha aur
perform kiya gaya hai…

PNC banner ne hamesha revolutionary filmein banayi hain - Fatso ussi disha mein ek aur prayaas hai...

Sirf ek problem hai - title aur posters humme mislead karte hain - Ranvir utna motta nahi hain - jitna film mein zikkar hota hain.

Fatso ko hume ek imaginary duniya mein le jaane ke liye milte hain 3 stars.

**************************************************************

Ab baat karte hain Jannat 2 ki...
Fox Star aur Vishesh Films produced Jannat 2 ek aur cop crime nexus ki kahani hai.

ACP Pratap - yaane Randip Hooda - hathyaar ke dhandhey ko khatam kar dena chahte hai.

ACP ki madad karta hai - ek chotta chor - Sonu Dilli yaane Emram Hashmi - jo purane hathyaaron ko - chamka kar – dugne daam mein bechta hai.

Har mafia film mein chor-police ki tolliyaan hoti hain - ismein bhi hain...
Ek vaihshat failane wala villain hota hai - jaise Manish Chaudhary…
Ek ice candy haseena - jaise Esha Gupta.
Vishesh Films aam taurpe apni kahani aur music ke badde pakke rehte hain.

Iss baar bhi Pritam Chakrabati ke music mein kashish hain magar Shagufta Rafiq
ki kahani mein koi surprises nahi.


Film ki shuruat mein ek lamba voice over hain - jo unclear hai.

Emram Hashmi aur uska dost - purani Dilli ki thet bolli bolte hain - jo samajh mein nahi aati.

Halake Randeep Hooda aur Emran Hashmi ne acha kaam kiya magar saare scenes itne lambe hain ki aapka mann bhatakta hain.

Bohat saare sawalon ke jawab aakhir tak nahi milte…

Randeep Hooda - har raat - public booth se hi kyon apni patni se  baat karte hain…?

Esha Gupta jaisi honahar doctor Emran jaise awara ko kyon dil degi…

Emram Hashmi ke paas shadi ke baad itna bada bungla kab aur kaise aata hai…?

Jannat 2 beshumar violence aur gaali galoch se bhara hain - isliye yahan sukoon hargiz nahi
mil sakta...

Jannat 2 ko milte hain 2 **stars.

Toh ye thi iss hafte ki releases - agle hafte phir mulaqat hogi - tab tak ke liye mujhe dijiye ijaazat Namaskar.
 
The review appears as it is on Cinema Review on Zee Cinema, Fridays 9PM.
In an edited version over weekends on 92.7 Big FM

No comments:

Post a Comment