Friday, 25 May 2012

7 releases. All far from rainbow.



Namaskar - Cinema Review mein - main Bhawana Somaaya - aapka swagat karti hoon.


Peechle do mahino mein- IPL ki wajah se - zyaada badi filmein release nahi hui hain.
Chotti filmein - jo badi filmon ke saath release hokar aksar box-office par maar khati aayi hain -
Aise samay ka - fayda uthati hain.
Aanewale ravivar ko IPL khatam ho jayega - aur saath hi mein - chotti filmon ka carvaan bhi.
Indradhanush mein saat rang hain - aur iss shukrawar - saat filmein- cinema halls mein apna rang dikhayegi.

Shuruat karte hain Love Recipe se:
Film ke ek scene mein hero ke pita apne bete se kehte hain 'Pyaar wo hain - jo dheemi aanch par pakta hain aur dheemi aanch par hi tikta hain…'
Director apne character ki baat seriously le lete hain -
Film dheemi aanch par chalti hain aur climax tak pakti nahi…
Aur ek baat - title ka kahani se koi matlab nahi -
Film ka title Love Recipe nahi - Confusion Recipe hona chahiye tha.
Love Recipe ko milta hain 1 star.

Rakt Beej ek aur maara-maari aur khoon kharabe ki kahani hain.
Film mein itne saare tracks aur characters hain - ke kiska - kisse
- kya rishta hain -kissiko samajh mein nahi aata.
Ye bhi samajh mein nahi aata - ki hero - dacait aur business man ka double role nibha raha hain...
Baap bete ki itni simple kahani ko itna complicated banane ke liye-
Rakt Beej ko milta hain 1 star.

Ye Khulla Aasmaan sabit karta hain ke zaroori nahi - ke ek acha khayal ek achi film mein badle.
Ye aise teen generation ki kahani hain - jo gaon-shehar aur pardes mein faile hue hain.
Film ka sangit acha hain - aur sandesh nek -
Writer zindagi ko aasmaan mein udti patang se tulna karte hain.
Afsos  - ke wo hamare dil ko - patang ki tarha - aasman mein nahi uda paate!
Ye Khulla Aaasmaan ko milta hain 1.5 star.

MLA Madhya Pradesh ke chotte gaon Bhagalpur ki kahani hain...
Ek sacha insaan - gaon walon ka vishwas jeet ta hain -
Aur doosri aur ek dhoke baaz- apne  kapat se - wohi vishwas ko todta hain !
Kahani jaani pehchani hain -
Film ko dilchasp banati hain - authentic locations - bhasha aur saare performances -
Khas taurpe Mukesh Tiwari.
MLA ko sahi Madhya Pradesh se humara samparrk karwane ke liye milte hain 2 stars.

Chutki Baja Ke - ko bachon ki kahani kaha ja sakta hai... -
Super natural kahani kaha ja sakta hai... -
Ya phir inspirational film kaha ja sakta hai...
Ek bohat purani kahawat hain - zulm karne wale se zulm sehne wala zyada kusurwaar hota hain!
Dhaabe mein kaam karne wala anaath Chottu - kayi zulm sehne ke baad -
Guru Baba Khan ki madad se apne par hue - har atyaachar ka datt ke jawab deta hain.
Iss refreshing aur positive message ke liye Chutki Baja Ke ko milte hain 2.5 stars.

Love Wrinkle Free - Goa mein basein aaj ke urban nuclear family ki kahani hain.
Aise subjects hum ab tak- Hollywood filmon mein dekhte the-
Magar ab aisi filmein- hum khud bana rahe hain.
Title se ye bohat boring film lagti hain -
Magar theatre mein jaane ke baad - full on entertainment guaranted hain.
Film ko special banati hain - film ki middle aged lead pair - Ash Chandler aur Shernaz Patel.
Aur saath mein Goa ki masti - Ye film sirf aur sirf Goa mein banayi jaa sakti thi.
Love Wrinkle Free ko milte hain 3.5 stars.

Aur aakhir mein UTV ki ambitious animation film
Arjun- The Warrior Prince.
Purane zamane mein - jab Shah Jahan ne Taj Mahal banaya tha- usmein sainkdo karigaron ki mehnat shamil thi.
Aaaj ki Arjun jaisi animation film ke peeche bhi - sainkdo talented artistes shamil hain.
Anginat animators jisne
mahine saal - raat din - computers ke aage baithkar graphics banaye hain…
Har frame - har character ko - alag soch aur alag roop diya hain…
Main salaam karti hoon Murlidhar aur Rastogi ke production design ko -
Jisne Mahabharat ke Hastinapur  - Indraprasth aur jungalo mein bitaye - Paandavo ke agyavast  ko bekhubi se pesh kiya hain…
Director Arnab Chhaudhri ne  animation films aur iss desh ka gaurav badhaya hain.
Arjun The Warrior Prince ko cinema ke itihaas - ka naya panna paltane ke liye - milte hain 4.5 stars.

Toh ye thi iss hafte ki releases- agle hafte phir mulaqat hogi - tab tak ke liye mujhe dijiye ijaazat -Namaskar.

1 comment:

  1. Hello Ma'am! It looks like Love Wrinkle Free and Arjun are the only movies that can be watched this week. My friend worked as an assistant director in Love Wrinkle Free :) . Considering that summer vacations will end soon, I believe it is prudent to take kids to watch Arjun since animation movies here tend to cater to kids more than a family audience.

    ReplyDelete