Monday, 14 May 2012

A week of Ishq


Namaskar – Cinema Review mein - main Bhawana Somaaya aapka swagat karti hoon



Ye saal ka wo samay hain - jab schools mein chhuttiyaan hoti hain - aur theatres mein
releases ki baarish lagti hain -
Iss hafte - ek baar phir - teen releases hain:
Alipur Films ki The Forest…Reliance Entertainment ki Dangerous Ishq…Aur YRF Films ki
Ishaqzaade…

****

Pehle baat karte hain The Forest ki –

Ye ek aise jungle ki kahani hain - jahan pehle - insaan apne shaukh ke liye - Cheeteh ka shikaar karta hain.
Jab zakhmi Cheetah - apna shikaar karne ke kaabil nahi rehta - tab wo jungle ke bajai - insaan ki basti mein - shikaar dhundhta hain.
Aisa mana jaata hain - ki agar Cheetah ek baar - insaan ka khoon chakh le - toh wo koi doosra
khorakh nahi khaata.
Itna hi nahi - Cheetah insaan ki tarha sochta hain - wo soch samajhkar - samay dekhkar - dushman par vaar karta hain!!

The Forest extraordinarily photographed film hain - kaash film ki kahani bhi itni hi convincing hoti...
Writer director Ashwin Kumar apne characters ke aapsi rishton mein - iss tarha se kho jaate
hain - ki Poaching jaise serious issue ko address nahi kar paate.

Cheeteh ke baad - Javed Jafri ka sabse best performance hain.
Jokes aside - Javed Hindi cinema ke aise honhar kalakar hain - jisse abhi tak - apni qabiliyaat ke layak role nahi mila.

The Forest ko wild life dikhane ke liye milte hain 2 stars.

****

Ab baat karte hain- Dangerous Ishq ki:

Super model Sanjana ko - ek saal ke liye Paris bheja jaa raha hain.
Airport jaate samay - Sanjana apna irada badalkar - apne boyfriend Rohan ke paas wapas aati
hain.
Agli subah - jab Rohan aur Sanjana - apni shaadi ke plans bana rahe hain - kuch goonde  aakar
Rohan ko kidnap kar lete hain!
Ghayal Sanjana jab aspatal mein aankhein kholti hain - usse ajeeb anubhav hone lagte hain…
Ab wo Urdu padh sakti hain - jo usne kabhi na seekhi hain - na boli hain…
Doctor ki salah se - aur hypnotist ki madad se - Sanjana ko uske peechle janam mein regress
kiya jaata hain.

Ye aise do premiyon ki kahani hain - jo yugon yugon se -ek doosre se bichadte aaye hain.!!
Har janam aur har roop mein - unhe gehri saazish ka samna karna padta hain.

Dangerous Ishq abtak ki sabhi reincarnation - yaane punnar janam par adharit filmon se hatkar hain.
Writer Amin Hajee hume jerky flashbacks ke bajai - halke dissolves mein - 1535 ke Chittorgarh se - 1947 ke Laudi Kottal ka safar karwate hain...
Unki ye rangeen kalpana ko aur bhi anokha banate hain - director Vikram Bhatt.

Bhatt ne hume kuch samay pehle - India ki pehli Stereoscopic 3D film Haunted di thi.
Iss baar  - Vikram Bhatt India ki pehli 3D thriller laaye hain .
Ab sawal ye hain ki - kya Dangerous Ishq - Karisma Kapoor ke liye sahi comeback choice hain?
Jawab hain haan - kyon ki ek hi film mein - Karisma ko alag alag kirdaar nibhane ka mauka mila hain.

Designer Manish Malhotra aur cameraman Praveen Bhatt - puri lagan se Karisma ko har yug
mein sajate hain…
Magar pata nahi kyon Karisma apne aap ko puri tarha se camara ko sabmit nahi kar paati...
Koi jhijhak hain....

Dangeorus Ishq ko purane concept ko naye andaaz mein pesh karne ke liye milte hain 3 stars.

****

Aur aakhir mein YRF Films ki Ishaqzaade:

Posterse se Ishaqzaade ek yaadgar love story lagti hain.
Magar asal mein Ishaqzaade love story se bahot zyada hain...

Ise chote sheher ki chotti soch ki kahani bataya ja sakhta hain…
Ise bade pariwaaro ki bade akankshaon ki kahani bhi bataya jaa sakhta hain…
Isse mazhabon ki ladai bhi kaha jaa sakta hain...
Rajneeti ki shey aur maat...
Aur Parma - Zoya ki violent love story.

Parma jo aaye din danga fasaad karta hai- Aur apne MLA dada ke elections mein aawaz uhata hain.
Zoya jo jhumke bech ke bandook khareedti hain aur MLA banne ka sapne dekhti hain.

Writer Director Habib Faisal jisne hume iske pehle Do Dooni Chaar aur Band Baaja Baraat
jaisi filmein di hain-
Iss baar ek aur kahani mein twist laaye hain!

Parma-Zoya ki love story mein aisa kuch nahi hota - ya tab nahi hota - jo hum sochte hain.

Interval ke pehle ka romantic track - aur interval ke baad- unke pariwaaro ka conflict track - bahut lamba aur boring hain.
Iske bawajood - Ishaqzaade naya sangeet - nayi bhasha - naye chehre - nayi jagah ko introduce karti hain.

Rifle uthake nishana lagane wali Zoya ki bhumika mein Parineeti Chopra mirchi se zyada teekhi hain.
Magar aakhir mein the film belongs to debutant Arjun Kapoor...
Jo 2000 ke hero ko nayi identity dete hain.

Kapoor apne chacha Anil Kapoor ki tarha supremely confident aur uninhibited hain.

Ishaqzaade ko milte hain 3.5 stars - jisme se 2 stars Arjun Kapoor aur Parineeti Chopra ke
chemistry ke liye hain.

Toh ye thi iss hafte ki releases - agle hafte phir mulaqat hogi - tab tak ke liye mujhe dijiye ijaazat.

Namaskar



The review appears as it is on Cinema Review on Zee Cinema, Fridays 9PM.
In an edited version over weekends on 92.7 Big FM

No comments:

Post a Comment