Friday 21 August 2015

Manjhi is noble and All is Well is clean entertainer - DAY 642

Ketan Mehta directed Manjhi Bihar ke chotte gaon ki kahani hain.
Saal 1947 mein desh toh azaad ho gaya, magar Gehlour gaon ab bhi garibi aur badhua
 mazdoor ka shikaar hain. Gehlaur mein kraanti laata hain Dasrath Manjhi aur ye kraanti ki wajah hai, pyaar! Dasrath ki patni Phagunia har roz pahad chadkar uske  liye khaana laati thi.
Ek din,  Phaguniya pahad se girkar mar jaati hai aur Dasrath pahad todkar rasta bana ne ki than leta hai.
Din- raat – hafte- manine- saal- dashak – balke do dashak takDasrath akela pahad todta rehta hai jab tak ke sadak nahi ban jaati.
Jiss saadgi se Dasrath Manjhi apni zindagi jeete hain, wohi saadgi se director Ketan Mehta apne kirdaar ko pesh karte hai.
Jis sachai se Dasrath apni ladai ladte hai, wohi sachai se Nawazudin Siddiqui bhi apne kirdaar ko nibhate hai.
Aisi film mein, kya aur kyun choot gaya, ya kum pad gaya, mayne nahi rakhta…
Manjhi dekhni chahiye, neyat aur sandesh ke liye, dilchasp climax ke liye, aur sabse badhka, ek gairmamuli insaan ke liye.
Manjhi ko Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars.

-------------

Umesh Shukla likhi directed  All is Well kahani hai ek bichde, bikhre pariwar ki.
 Maa/Supriya Pathak ashram mein hain, baap/Rishi Kapoor karz mein duba hai aur beta/Abhishek Bachchan pardes mein hai. Sanjog kuch aise bante hain, ki iss ladte jhagadte pariwar ko ek saath aana padta hain aur lamba safar bhi tayy karna padta hain. Safar ke dauran pata chalta hai ki jo dikhta hai aisa hota nahi aur jo hota hai use aksar chupaya jaata hai. Film ka plus: film ka sangit, saare actors ke beech chemistry, Road-Romance-Family ka mishran aur saaf suthri kahani.Film ka minus, agar isse minus kaha jaye toh,  ki kahani taam jhaam se zyaada sandesh ko mahatva deti  hain.
All is Well dekhni chahiye, ek naye baap bĂȘte ki jodi yaane Rishi Kapoor -Abhishek Bachchan ke liye.
All is Well ko Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars.

Bhawana Somaaya/ @bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment