Friday 8 January 2016

Who is Wazir - DAY 742

Vidhu Vinod Chopra produced aur Bejoy Nambiar directed Wazir terrorst-politician- police ke beech phasse aam aadmi ki kahani hai.

Aam aadmi, Pandit Omkarnath Dhaar, shatranj ke grandmaster, yaane Amitabh Bachchan, jo zindagi mein sab kuch kho jaane ke bawajood himmat nahi haare.
Aam aadmi, Daanish Ali, ATS officer, yaane Farhan Akhtar, jo zindagi mein sab kuch khone ke baad puri tarha se toot chuke hain.
Omkarnath aur Daanish ko samaantar paristhitiyaan paas laati hai aur atrangi dost banati hai.
Film ka plus: film ka refreshing look, film ki shot taking, film ka suspense, sangit aur perormances.
Ruhana Ali ki bhumika mein Aditi Rao Hyadri, minister ke role mein Manav Kaul aur cameo mein Neil Nitin Mukesh.
Farhan Akhtar 1973 ke angry young hero ko redefine karte hai. Unki khasiyat ye hai ki wo kum ko zyaada maante hai aur dukh ho ya khushi, har pal mein sache nazar aate hain!

Amitabh Bachchan ke Panditji baazi khelne ke saath saath; haste, gaate aur kavita sunte hain…40 saal ke baad bhi unki aankhon mein chamak aur abhinay mein naveenta hai...

Film ka minus: film ki raftaar- first half bohat tez hai aur second half bohat dheema. Director Bejoy Nambiar ki sabhi filmeinShaitan ho ya David dark hoti hain…
Wazir bhi… iske bawajood film dekhni chahiye, Amitabh Bachchan aur Farhan Akhtar ki atrangi jodi ke liye.

Wazir ko Big Entertainment Ratings milte hainh 3 stars.

@bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment