Friday 11 March 2016

Terra Surror is Time pass - DAY 779


Shawn Arranha directed Teraa Surroor saal 2007 ki film Aap Kaa Surroor ka sequel hai. Isse hum gangster ki kahani keh sakte hain, mobaat ki kahani keh sakte hain ya phir sirf Himesh Reshamiya ki kahani keh sakte hain...
Hero Raghu, yaane Himesh Reshamiya ki girl friend Ireland ki jail mein qaid hain aur usse wahan se faraar karwane mein uski madad karte hain: Vakil Monica Dogra, police officer Kabir Bedi, Indian Ambassador Shekhar Kapur aur qaidi Naseerudin Shah.

Film ka plus: film ke exotic loactions, lajawab cinematography, anokha music aur Naseerudin Shah.
Film ka minus: sach poocho toh kuch nahi aur wo isliye, kyon ki Himesh Reshamiya aap ko sochne/samajhne/ achcha/ burra lagne ka mauka hi nahi dete hain.

Camera pure 2 ghant, 16 minute Himesh ke saath chalta hai aur Himesh music/ drama/ romance/ action/ dialogue delivery, yahan tak ke shirt utaar ke humara manoranjan karte hain.
Agar aap Himesh Resamiya ke fan hai toh Terra Suroor dekhni zaroori hai. Agar aap HR ke fan nahi hai toh Teara Suroor aur bhi zaroori hai kyon isss se badkar manoranjan na mumkin hai.
Terra Suroor ko Big Entertainment Ratings milte hain 2 stars.
@bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment