Film scores over book
22.02.2013, Mumbai
UTV ki Kai Po Che prasidh lekhak Chetan Bhagat ki kitab The 3 Mistakes of My
Life par adharit hain.
Upanyaason par adharit zyadatar filmein hume isliye nirash karti hain kyon ki 300
panno ka nichod keval 2.5 ghante ki film mein darshana bohat hi kathin prayas
hain.
Kai Po Che ek anokha udharan hain jahan film kitab se zyaada dilchasp hain aur iska shrey jaata hain Pubali Chaudhari aur
Supratik Sen, ke bohat precise aur effective screenplay ko.
Film ke dher saare plus points hain: Sabse pehle teenon ladke – Sushant Singh
Rajput, Raj Kumar aur Amit Sad ke extra-ordinary performances.
Phir film ki sound – cinematographt - art design – music aur film ka part fiction
part reality plot.
Ye kahani hain teen doston ke junoon aur jasbaad ki. Unke hausle aur sunghursh
ki.
Ishaan, Omi aur Govind apne sapnon se bas kuch kadam door hain jab achchanak
sab kuch bikhar jaata hain!
Director Abhishek Kapoor Rock On ke baad ek aur jawaan aur dilchasp film lekar
aaye hain - is baar set in Ahmedabad.
Abhishek Amdabad shehar ko ek kirdaar ki tarha pesh karte hain –
phir wo tang galiyon ke chottee ghar ho ya scootor o se bhari shorrogol sadkein..
Amdabad Sankrant ke utsav mein uchalta hain – Navratri ke jalse mein jhoomta
hain aur jab Bhookamp aata hain toh tootta hain…!!
Film ki pace thodi dheemi hain – emotion/ drama quotient understated hain- magar
ye director ki khasiyat hain.
Kai Po Che mein ek saadgi aur thehraav hain jo Abhishek Kapoor ki khasiyaat
hain.
Film ki jaan – Swanand Kirkire ke gaane hain khas taurpe ‘ Ruthe khwabon ko
mana lenge…’
Kai Po Che ko ko Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars.
***
Issi hafte ek angrezi release Silver Linings Playbook ka mention karna isliye
zaroori hain kyon ki kyon ismein Bhartiya actor Anupam Kher ne bada role kiya
hain.
David O Russel ki Silver Lining Playbook Angrezi zaban mein Hindi film hain –
jahan Karan Johar k ki filmon ki tarha pariwar ke baare mein hain.
Har pariwar mein kuch na kuch problems hote hain. Ismein bhi hain.
Chotta beta mansik tanav ki wajah se lambe arse aspatal mein raha hain. Ab jab
who ghar laut aaya hain toh sab kuch pehle jaisi nahi ho sakta.
Kahani complexities ke baare mein hain magar bohat hi humorously pesh li gayi
hain.
Hindi filmon ki tarha plot predictable hain aur solution bhi hume pehle se pata
hain.
Phir bhi film dekhni chahiye film ki khupsurat likhawat, saucy dialogues aur
lajawab performances ke liye.
Jennifer Lawrence, Bradley Cooper, Robert De Niro aur apne Anupam Kher ko Dr
Patel ki bhumika mein dekhne ke liye.
Silver Lining Playbook ko Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars.
Bhawana Somaaya/ www.bhawanasomaaya.com
No comments:
Post a Comment