Friday 14 June 2013

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 130

Fukrey is entertaining. Ankur Arora.. is thought provoking
14/06/2013, Mumbai

Excel Entertainment produced aur Mrighdeep Lamba directed Fukrey kahani hai chaar desperate ladkon ki.

Hunny, yaane Pulkit Samrat aur Choocha, yaane Varun Sharma school ke aakhri saal mein tuitions ke bawajood teen baar fail ho chuke hain!

Laali, yaane Manjot Singh part time gurudwara mein rehta hai aur part time pita ki dukan par.

Sab ka sapna hain ki wo jald se jald college jaye - aur ladkiyon se ishq ladaye!!

Zafar yaane Ali Fazal issi college ka graduate hai magar ab bhi college mein guitar bajate hue nazar aata hai.

Zafar musician ban na chahta hain magar ab tak koi album release nahi hua hai.

Inn charon ko milate hain ke college ke watchman - yaane Panditji aur unki kahani mein twist laati hai Bholi Punjaban yaane Richa Chadha.

Fukrey sirf Hunny, Choocha ki kahani nahi, balki hum sab ki kahani hain jab hum jawaan thhe aur college mein padhte thhe.

Delhi Belly aur Go Goa Gone ke baad ye ek aur fun filled, adventure film hai jo college ke campus ke bahar shuru hoti hai.

Film ki witty writing aur entertaining peshgi ke liye credit jaata hai film ke writer director Mrighdeep ko.

Fukrey ko Big Entertainment Ratings milte hai 3.5 stars.


**********************************************************************

Vikram Bhatt produced aur Suhail Tatari directed Ankur Arora Murder Case satya ghatna par adharit rachna hai.

Ek maa apne chotte bache ko pet mein dard ki wajah se aspatal laati hain – doctor unko hospital mein admit hone ki salah dete hai - aur do din baad unka appendix operation hota hain.

Surgery kamyaab batayi jaati hai magar kuch hi pal ke baad - complications ki wajah se, bachha operation table par hi mar jaata hain.

Iss film ka hum kai tarha se varnan kar sakte hai - ek maa ki bĂȘte ke liye vyaktigat ladai – ya phir medical world ka aitihasik expose.

Ankur Arora Murder Case pehli film hai jisme medical aur legal procedures ko itni authentically pesh kiya gaya hai.

Iss dardnaak kahani ko aur bhi dilchasp banati hain courtroom arguments aur rishton ki guthliyaan.

Doctor ki bhumika mein Kay Kaya Menon, maa ki bhumika mein Tisca Chopra aur lawyer ki bhumika mein Paoli Dam aap ka dil hilakar rakh denge.

Vikram Bhatt likhi aur Suhail Tatari directed Ankur Arora Murder Case hamare aaj ke khokle samaj ka aina hai aur humare hausle aur himmat ka pratik bhi.

Hard hitting and sensitive Ankur Arora Murder Case ko Big Entertainment Ratings milte hai 3.5 stars.

Bhawana Somaaya / @bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment