Raanjhanaa disappoints
21/06/2013, MumbaiKrishika Lulla produced - Anand Rai directed Ranjhana mein Banaras ke Hindu Pandit Kundan ko - pehli nazar mein Zoya se pyaar ho jata hai.
Zoya ke valid usko Aligarh padhai ke liye bhej dete hain aur 9 saal baad jab Zoya ghar laut-ti hai, toh uski duniya badal gayi hai!
Magar Kundan ki duniya ab bhi Zoya hai...
Film ek umang se shuru hoti hai aur hume Holi ke rang, barsaati ki patangein, tang sadkon ki bhagti cyclein aur gol gappe ke swaad mein bandh leti hai.
Yehi utsah Delhi university campus aur krantikari student’s mein nazar aata hai. Film ka first half ek raftaar se bhagti train ki tarha aapko jakkad leta hai. Phir achanak, galat signal ki wajah se, kahani focus kho deti hai.
Sabse pehle – film taiyy nahi kar pati ki ye kahani pyaar ki hai / nafrat ki hai/ badley ki hai /dharam ki hai/ politics ki hai ya pashchatap ki?
Dossra, sabhi characters (sivaye Abhay Deol), mein character contradiction hai. Zoya Kundan ko dost manti hai aur uska istimaal bhi karti hai.
Kundan barbadi ka ailaan karta hai aur dushman ki bhi madad karta hai.
Writer Himanshu Sharma bewajah ki gaaliyon ko ahmiyat dete hai aur, aham sawalon ke jawab nahi dete.
Bindiya yaane Swara Bhaskar zalil hone ke bawajood Kundan ko kyon pyaar karti hai? Aspatal se gayab hone ke baad Zoya ka pariwar Zoya ko kyon nahi khojta?
Film ke kirdar,screenplay, rishtey, iraade aur sandesh sabhi mein jhol hai.
Sabhi characters jasbaadon mein uljhe hue hai, magar koi bhi humare dil ko nahi chhute
Sonam Kapoor, khubsurat aur zindadil hai Dhaanush role ke liye sahi hai magar aap ka dil sirf Abhay Deol jeet ta hai.
Ranjhana ko Big Entertainment ratings milte hai 2.5 stars.
Bhawana Somaaya / @bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment