Rani impresses, Samrat
disappoints, Kaanchi surprises
25.04.14
Subhash
Ghai likhi- produced aur directed Kaanchi
ko hum ek inspirational kahani keh sakte hain...
Ya phir
aaj ke Hindustan ke jagrit naujawan ki system ke khilaaf ladai …
Film ka
plus Mandira Shukla ke costumes,corrupt cop ke role mein Chandan Roy Sanyal,
Irshaad Kamil ke lyrics aur Ismail Darbar ka sangit, khaas taurpe ‘Tu sab kuch
hai’
Film ka
minus film ki length aur naujawan kahani mein misfit lagte veteran actors
Mithun Chakraborty aur Rishi Kapoor.
4 dashak
19 filmein aur kaii naye kalakaron ko break dene ke baad, Subhash Ghai ek aur
naye jode ko pesh karte hain.
Pyaar ka Punchnama ka Kartik Aryan jo Hindi filmon
ke liye bane hain aur Mishti jo film ki jaan hain aur chotti Rani Mukherjee ki
yaad dilate hain.
Kaanchi ko nek soch , sachi neeyat aur
nayi peedhi ke liye sandesh ke liye Big Entertainment Ratings milte hain 2.5
stars.
*
Tigmanshu
Dhulia produced aur Sai Kabir likhi-directed Revolver Rani Madhya Pradesh ki rajneeti ki kahani hain, iske
bawajood unn saari filmon se alag hain jo humne ab tak dekhi hain.
Wo
isliye kyon ki Revolver Rani
political satire hain jisme thodi hassi, thodi masti, aur bohat zyada khoon
kharaba hain.
Ismein
Chambal ki goliyaan hain…Gwalior ki gunda-gardi… Bollywood ke naach gane…Italy
ke costumes aur Madhya Pradesh ki vishesh Hindi aur Angrezi.
Director
manoranjan ke saath saath, aam zindagi ki samasyaein, jaise rang-roop/ aurat-mard/
pariwar-samaaj/ paisa-pyaar par vyang karte hain.
Beshaq
ye sab ke temperament ki film nahi hain magar anokhi hain, film ke titles se
lekar, aakhri scene tak rassili aur nirali hain!
Film ka
minus film ki length aur excessive violence, film ka plus film ki likhawat,
humour aur dher saare dilchasp kirdaar.
Film ka
sabse bada plus, Kangana Ranaut jo Alka Singh ka chehra/ chaal-dhaal/ zabaan-
galiyaan/ dil-jasbaad ko aise apnati hain jaise khud Chmbal mein palli badi ho.
Hindi
Cinema ki 1940 ke dashakki Fearless Nadia
ki tarah 2014 ki Revolver Rani ek
baar phir Indian Cinema ki heroine ka ithihaas badalti hai
Revolver Rani ko Big Entertainment Ratings
milte hai 3 stars.
*
Kavita
Barjatya produced aur Kaushik Ghatak directed Samrat & Co, ek private
investigator, Samrat Tilak Dhari yaane Rajeev Khandelwal ki kahani hain.
Ek
ajnabi ladki, Samrat ke ghar apne pita ke qatil ko dhoondh ne ke liye Samrat se
madad maangne aati hain aur Samrat apne
assistant Chakradhari ke saath case solve kar deta hain.
Film ka
plot ordinary hain aur mysery bohat zyada simplistic. Outdoor locations
khupsurat hain aur kuch dialogues witty.
Behtar
hoga agar aap ghar baithkar TV par CID dekhe ya phir Rajeev Khandelwal ki koi
purani film dekhe.
Samrat
& Co ko Big Entertainment Ratings milte hain 1.5 stars.
Bhawana Somaaya/ Tweets @bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment