Romance
with Agenda
18.04.14
18.04.14
Karan Johar – SajidNadiadwala produced aur Abhishek
Varman directed 2 States 1 couple, 2
pariwar aur teen pranto ki kahani hain.
Film shuru hoti hain Ahmedabad ke IIM campus mein
jahan Tamilian Ananya Swaminathan ki mulakat Punjabi Krish Malhotra se college
ke Mess mein hoti hain.
Dono pehle dost, phir premee aur baad mein apne job
placement ki taiyaari ke saath saath, ek doosre se shaadi ke plans banana shuru
karte hain.
Author Chetan Bhagat ki iissi naam ki kitab par
adharit Abhishek Varman ki sajayi 2
States ko hum Chennai ke Shiv-Radha Swaminathan aur Delhi ke Kavita-Vikram
Malhotra ki shadiyon ke side effects bhi keh sakte hain.
Film ka plus, film ka ambience, film ki detailing
aur romance ka refreshing perspective. Iske saath saath Binod Pradhan ki
cinematography aur Hussain Dalal ke natural dialogues.
Film ka
minus, uska bookish narrative, flashback-forward structure aur fluctuating pace
– khaas taurpe jab characters Chennai pohachte hain.
Krish ki bhumika mein thoda confused thoda rootha
Arjun Kapoor thoda repetive ho jaata hain.
Tamilian Ananya ki bhumika mein Aliya Bhatt jab
screen pe aati hain toh bahaar jaati hain.
Aur inn ke saath, ek bohat hi complex role mein Ronit
Roy, haule se, dabbe paun aap ke dil mein ghar banate hain.
2
States ko manoranja dwara kuch vyavhaik, kuch pariwarik,
kuch samajik aur cultural muddein uthane ke liye Big Entertainment Ratings milte
hain 3 stars.
Bhawana
Somaaya/@bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment