Saturday, 5 April 2014

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 318



Flashback 1980’s

04.04.14

Balaji produced aur David Dhawan directed Main Tera Hero college campus romance hain.
Seenu yaane Varun Dhawan Conoor se Bengalaru padhne aata hain aur usse Sunaiyna, yaane Ileana Dcruz se pyaar ho jaata hain.
Sunaiyna Seenu se door bhagti hain kyon ki police inspector Aangad, yaane Arunodaya Singh har wo ladka jo Sunaiyna ke kareeb aata hain se dushmani mole leta hain.
Iske bawajood, Seenu Sunaiyna se dosti kar leta hain aur unka romance bas khilne ko hain, jab kahani mein twist aata hain!
 Ab Sunaiyana, Anupam Kher ke paas Bangkok mein, ek bandi ke taur par hain.
Sunaiyana ki talash mein Seenu… aur Seenu ki talash mein Aangad… Bangok pohachte hain…
Aur kyon ki kahani mein kuch khaas karne ko nahi hain, isliye sabhi, hassi mazak aur naach gaane mein vyast ho jaate hain.
Film ka maqsad manoranjan hain aur iske liye music, choreography, one line witty dialogues, six packs, item numbers, sab kuch hain.
Ileana aur Nargis rang birangi costumes badalti hain aur hero Varun Dhawan ek saath romance/ comedy/ action/ dance sab kuch  karta hain!
Main Tera Hero 80 ke dashak ki David Dhawan filmon jaisi youth ke liye ek time pass film hain.
Aur Varun Dhawan, Govinda ki tarha hi ek complete entertainer!
Main Tera Hero ko Big Entertainment Ratings milte hain 2.5 staars jisme se aadha star Varun ke super confidence ke liye hain.

 *****


Thirsty for Jal

Girish Malik produced/ directed Jal Kutch ke Rann ki kahani hain, jahan do kabile, aas paas rehte hain aur ek doosre se paani ke liye ladte hain!
Bakka yaane Purab Kohli apne kabile ka Jaldevta hain jo hawa ke rukh aur dharti par kaan rakh kar batata hain ki kunwwa kahan khudwana chahiye.
Ek din Rann mein pardesi aate hain jo Rann ke panchi Flamingos ko bachana chahte hain.
Bakka unka marg darshan karta hain aur pardesi machine ki sahayta se kunwa khudwate hain aur kaam pura hone par, machine sahit wapas lautt jaate hain!
Jal Rajasthan ke sookhe ke saath saath aur bhi muddein uthati hain.
Film ka production design, costume, dialogues, music, gaane aur saare performances outstanding hain.
Cinematographer Sunita Radia rett ki aandhi mein hume lappet leti hain aur Jaldevta ki bhumika mein Puab Kohli sehra ki kadakti dhoop mein Bakka ko jeeta hain!
Pehli baar hume kudrat ke krodh aur banzar zameen ke shraap ka ahsaas hota hain.
Ek scene mein gaon wasi kehta hain ‘Baarish har jagah baristi hain, humare yahan kyon nahi aati?’ tab doosre kehta hain ‘Insaan bhi panchiyon ko bachane ki sochte hain, humare baare mein koi nahi sochta!’
Director Girish Malik ne socha hain…Aisi film sachi neeyat aur jigar ke bagair nahi ban sakti…
 Jal ko iss prayas ke liye Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars.



Bhawana Somaaya/ Tweets @bhawanasomaaya 

No comments:

Post a Comment