Friday, 11 April 2014

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 323



Ghost who entertains

11.04.14


BR Films-T Series produced aur Nitesh Tiwari directed Bhootnath Returns saal 2008 ki release Bhootnath ka sequel hain.
Bhootnath mein bhoot, yaane Amitabh Bachchan apne dost Bankku ko chodkar aatma ki duniya lautt aate hain.
Bhootnath Returns mein wo apni sachai ko sabit karne ke liye, ek baar phir, manav nagri wapas aate hain!
Iss baar unka dost banta hain Akhrot yaane bahtareen adakara, Parth Bhalera!
Jahan Bhootnath pariwarik bandhano ke baare mein thi, Bhootnath Returns samajik aur rashtriya muddein uthati hain.
 Film ka plus: ensemble performances, sangit, novel concept aur sabse badhkar film ki neeyat aur iska shrey puri writing team ko jaata hain.
Film ka minus: bohat saare muddein  aur bohat simple solutions  jase public/ police/ politician/ media/ medicine aur  municipality,  jo ek  hadh ke baad gyaan lagne lagti hain. 
Iske bawajood Bhootnath Returns do wajeh ke liye significant hain.
Pehla aur aham, film ki timing jo chunaou ke mahaul mein sateek baithti hain.
Doosra, 72 saal ke hero Amitabh Bachchan bagair  romance/drama/action/ family aur kabhi kabhi bagair dikhe bhi, sirf apni awaaz ki bulundi par aap ko 2.5 ghante ke liye  jakad kar rakhte hain.
Bhootnath desh mein parivartan laana chahte han aur laate hain…!
Isse ittefaq kahiye magar Amitabh Bachchan ki filmo ne bhi Hindi cinema ke har dashak mein parivartan  laaya hain.
70 ke dashak mein angry man, Zanjeer.
80 ke dashak mein aam aadmi, Coolie.
90 ke dashak mein anti establishment, Agneepath.
2000 ke dashak  mein acharya, Mohabbatein.
2010 mein naujawan senior citizen Buddha Hoga Terra Baap aur 2014 mein aaj ke ummeedvaar, Bhootnath Returns.
Bhootnath Returns ko Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars.
 Bhawana Somaaya/ @bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment