Bajirao
Mastani 200 saal purani, 18 vi sadi ke bahdur
yoddha, Pehwa Bajirao, uski patni Kashibai aur doosri patni Mastani ki prem kahani
hain.
Ye film pariwar se adhik uss daur ke saamajik/
raajneeti/ rehni karni/ khayal aur prathaon ka pratibimb hain, jiska shrey
jaata hai film ke sabhi technical departments ko; phir wo kamal ka camerawork
ho/ sound /outstanding music/costumes ya action ya lajawab art design.
Kahani Pune ke oonche qille aur Paithan ke alishaan
mahalon se guzarti hui, Rajasthan aur Bundelkhand ke rangon mein rangkar,
Hyderabad ke Nizam se milti hain aur uske saath daudte hain sainkdo haathi-ghode
aur unpar sawaanr anginat sipahee.
Writer Prakash Kapadia, Rao ke sabhi dost/dushmanon
ka parichay karwate hai aur unke saath nyay karte hain. Chotte roles mein
Mahesh Manjrekar aur Milind Soman, Rao ki maa ki bhumika mein Tanvi Azmi, jaise
uss daur ki seemaon mein bandh jaate hain.
Aisa nahi hai ki film mein khamiyaan nahi hain – hum
sab jaante hai ki Peshwa gaate nahi thhe aur Peshwa bai naachti nahi thi…
Kuch jagah par VFX effects behtar ho sakte thhe aur kuch
climax bhi edit ho sakta tha, magar ye mayne nahi rakhta...
Ya mayne nahi rakhta ki kisne kis se behtar perform
kiya hai…
Priyanka Chopra, Kashibai ko dhairya aur samaan se
pesh karti hai…Deepika Padukone, Mastani ko bahduri aur bhakti se aur Ranvir
Singh, Bajirao ko shaurya aur sachai se..!
Film ki shaan film ka director hai – uski soch/ uski
vision/ film ka canvas/ magnitude, detailing aur sabse badhkar, uska passion!
Bajirao
Mastani Sanjay Leela Bhansali ki KAsif ki Mughle-Azam ko tribute hai, phark sirf
itna hai ki iss baar Mughal sultanat nahi, Peshwa ka Shaniwarwada hai, Shees
Mahal ke bajay Aina Mahal hai aur zanjeeron mein qaid Anarkali nahi Mastani hai.
Bajirao
Mastani dekhni chahiye itihaas ke liye nahi, ek kalakar ki
kalpana ke liye… Bajirao
Mastani ko Big Entertainment Ratings milte hain 4 stars.
@bhawanasomaaya