Mahurreta Anand likhi directed Kajariya Haryana ke chotte gaon ki kahani hain jahan ladikiyon ka
janam hote hi unhe maar diya jaata hain.
Aur ye kaam karti hai Kajariya, jisse gaon wale Maata Kaali ka avtaar mante hain…
Film ka plus: film ki kahani, detailed research,
locations aur screenplay.
Director Madhurreta, journalist Meera aur Kajariya
ki kahaniyon ko jodkar, shehar aur gaon ki lakeeron ko mitati hain aur aham samajik
muddein uthati hain.
Film ka minus: film slow hai, serious hai aur achi
neeyat aur sandesh ke bawajood, hum se puri tarha se jud nahi paati.
Agar aap ko manoranjan ki talash hai toh Kajariya
aap ke liye nahi hai.
Agar aap female infanticide yaane ‘kanya shishu
hatya’ ke khilaaf ho, toh Kajariya zaroor
dekhiyeen.
Kajariya
ko Big Entertainment Ratings milte hain 2.5 stars.
@bhawanasomaaya
No comments:
Post a Comment