Friday, 18 December 2015

DAY - 725 (2) - Dilwale drags

Red Chillies produced aur Rohit Shetty directed Dilwale do baap, do bhai, do behne, do gunde aur do choron ki kahani hai.
Do baap, yaane Vinod Khanna aur Kabir Bedi – aur dono don hai, jo hume pata hai. Do bhai, yaane Shah Rukh Khan aur Varun Dhawan, jo sage bhai nahi hain, jo bhi hume pata hai. Do behne, yaane Kajol aur Kirti Sanon, jo sagi behane hain, aur ye bhi hume pata hai.


Do gunde, yaane Boman Irani wala ‘King’ aur gumnaam ‘Kaali’ aur unke dhandho ke baare mein bhi hume pata hai. Do chor, yaane Varun Sharma aur Sanjay Mishra, jiske baare mein wo khud hume batate hai. Film ki kahani 70 ke dashak jaisi hai – saare kirdaar 80 ke dashak jaise - gaane 90 ke dashak jaise, jinka kahani se koi taluk nahi aur film ke dialogues 2000 ke dashak ki best lines churate hai – jo hume sab yaad hai.

Na isme Shah Rukh-Kajol ki chemistry jadu chalati hai aur na hi Rohit Shetty ke stunts agar thoda sa manorajan karte hai toh sirf Sanjay Mishra.


Shah Rukh-Kajol ki saath mein ki huyi 7 filmon mein se aur Rohit Shetty ki 11 filmon mein se, Dilwale sab se kamzor hai.
Dilwale ko Big Entertainment Ratings milte hai 2 stars.








@bhawanasomaaya


1 comment: