Friday, 18 December 2015

DAY 725 (1) - Bajirao Mastani is tribute to Mugha-E-Azam

Bajirao Mastani 200 saal purani, 18 vi sadi ke bahdur yoddha, Pehwa Bajirao, uski patni Kashibai aur doosri patni Mastani ki prem kahani hain.
Ye film pariwar se adhik uss daur ke saamajik/ raajneeti/ rehni karni/ khayal aur prathaon ka pratibimb hain, jiska shrey jaata hai film ke sabhi technical departments ko; phir wo kamal ka camerawork ho/ sound /outstanding music/costumes ya action ya lajawab art design.
Kahani Pune ke oonche qille aur Paithan ke alishaan mahalon se guzarti hui, Rajasthan aur Bundelkhand ke rangon mein rangkar, Hyderabad ke Nizam se milti hain aur uske saath daudte hain sainkdo haathi-ghode aur unpar sawaanr anginat sipahee.
Writer Prakash Kapadia, Rao ke sabhi dost/dushmanon ka parichay karwate hai aur unke saath nyay karte hain. Chotte roles mein Mahesh Manjrekar aur Milind Soman, Rao ki maa ki bhumika mein Tanvi Azmi, jaise uss daur ki seemaon mein bandh jaate hain.
Aisa nahi hai ki film mein khamiyaan nahi hain – hum sab jaante hai ki Peshwa gaate nahi thhe aur Peshwa bai naachti nahi thi…
Kuch jagah par VFX effects behtar ho sakte thhe aur kuch climax bhi edit ho sakta tha, magar ye mayne nahi rakhta...
Ya mayne nahi rakhta ki kisne kis se behtar perform kiya hai…
Priyanka Chopra, Kashibai ko dhairya aur samaan se pesh karti hai…Deepika Padukone, Mastani ko bahduri aur bhakti se aur Ranvir Singh, Bajirao ko shaurya aur sachai se..!
Film ki shaan film ka director hai – uski soch/ uski vision/ film ka canvas/ magnitude, detailing aur sabse badhkar, uska passion!
Bajirao Mastani Sanjay Leela Bhansali ki KAsif ki Mughle-Azam ko tribute hai, phark sirf itna hai ki iss baar Mughal sultanat nahi, Peshwa ka Shaniwarwada hai, Shees Mahal ke bajay Aina Mahal hai aur zanjeeron mein qaid Anarkali nahi Mastani hai.
Bajirao Mastani dekhni chahiye itihaas ke liye nahi, ek kalakar ki kalpana ke liye… Bajirao Mastani ko Big Entertainment Ratings                                                                 milte hain 4 stars.




@bhawanasomaaya


4 comments: