Friday 29 January 2016

DAY 754 - Sala Khadoos – Sincere effort


Sudha Kongara likhi directed Sala Khadoos kahani hai ek boxing coach Adi Tomar yaane R.
Madhavan ki jo system ke khilaaf hai aur isiliye system bhi uske khilaaf hai. Adi jab gussa hota hai, tab aape se bahar ho jaata hai aur uske iss vyavhar ke kaaran, board of directors, usse Dilli se Chennai transfer kar dete hain.
Chennai ki National Boxing mein ginti na hone ke bawajood, Adi Tomar, apne laayak ek shishya dhoondh hi leta hai.
 Maddhi - yaane Ritika Singh jhopadpatti mein bassi ek machi bechne wali ladakoo ladki hai, jisse Adi, Women Light Weight Championship ke liye trainning deta hai…
Sports ke vishay par banayi gayin zyadatar filme – phir wo humare desh mein ho ya bahar- ek hi tarha ki kahani hoti hai, jisme pehle khiladi ki parkha hoti hai, phir trainning aur baad mein uski pariksha li jaati hai!
Sala Khaddos mein bhi kuch aisa hi hota hai…aur baaki filmon ki tarha isme bhi kuch pyaar, kuch pariwar aur kuch rishton ke dhaage judte hain…Kuch boxing association ke parde faash hote hain, kuch dil tootte hain aur kuch umeed bandhti hai…
Film ka plus:  Writer Director Sudha Kongara bina naach nakhre, bina taan jhaam ke sachi ghatnao ko sachai se pesh karte hai.
Film ka minus: film predictible hai, thodi disproportionate hai, kuch scenes bikhre se hai, iske bawajood film wasool hai nayi ladki Rikita Singh aur sab se badhkar, hero R Madhavan ke liye!
Sirf do ghante aur do bhasha (Hindi/Tamil) mein bani Salaa Khadoos ko Big Entertainment Ratings milte hai 2.5 stars.

@bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment