Jayant Gilatar directed Chalk and Duster kahani hain school/ school teachers’ aur humare
Education system ki.
Ek classroom ke bheetar, teacher ke paas apne
student ki har samasya ka solution hota hain, magar class ke bahar, wohi
teacher, anginat mushkilein aur paristhitiyon se jhunjhti hain…
Kantaben School ki shikshikaaein har roz, nayi
chunautiyon ka saamna karti hain magar ek din unke dhairya ka baandh toot jaata
hain…
Purani filmon mein ‘Teacher’ ke kirdaar hamesha
aadarshwadi hote the, magar dheere dheere, pata nahi kyon, ‘Teacher’ humari
filmon se adrishya ho gayein!
Film ka plus: film ka refreshing subject, sangit aur
actual locations ko capture karti hui Baba Azmi ki cinematography.
Film ka minus: bohat zyaada nahi, magar ekada scene
lambe hain aur kuch refrences predictible aur cliched hain.
Chalk
and Duster dekhni chahiye, writers Neetu-RanjeevVerma ke
vyaktigat kahani, Divya Dutta ke negative performance, Shabana Azmi ki swabhimani
Vidya Sawant aur Juhi Chawla ki niswarth Jyoti Thakur ke liye.
Film ka sabse bada hero, film ka sandesh aur film ki
neeyat hai…Hum sab ne, na jaane kitni baar ‘Guru Bhrahma, Guru Vishnu, Guru
Devon Maheshwara’ ka uccharan kiya hai, magar palan nahi kiya!
Chalk and Duster wo saare guruon ko
sharadhanjali hain, ek saaf suthri film jisse hum pariwar/ dost aur guru/
shishya ke saath garv se dekh sakhte hain.
Chalk
and Duster ko Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars.
@bhawanasomaaya
Superb movie .. Hats off to writers
ReplyDelete