Tuesday 6 December 2011

THE DIRTY PICTURE recreates an era....


Namaskar...Cinema Review mein - main Bhawana Somaaya - aapka swagat karti hoon...
Iss hafte do releases hain: Peshaura Singh ki I Am Singh aur Balaji Films ki The Dirty Picture.

Pehle baat karte hai I Am Singh ki –
 I am Singh America mein basse – un Sikhon ki kahani hain -  Jo 9/11 ke baad - bohat saare logon ke gusse aur nafrat - yaane Hate Crimes ka shikar banne.



White racists - Sikhon – aur Musalmano ko – Afghani terrorist samajhkar - rampantly target karne lage.
Aise hi ek ferocious attack mein - American resident - Bikram Singh ka din-dahade qatal ho jata hai…
Uske Bauji ko kuch goonde berehmise peet te hai – aur uske bhai - Balbir Singh ko giraftar karte hai.
Ab pariwar ka sabse chhotta beta - Ranveer Singh apne bhai ko khojne ke liye India se America aata hai aur kuch doston ke sahare anyay se ladta hai…
Saari film Los Angeles mein shoot ki gayi hai - aur har scene mein America ka ek naya location pesh kiya gaya hai.
Waise to film mein saare masale hai - jaise bade bungle - badi gaadiyaan-
bada pariwar – thoda dialogue baazi – thoda dhishum dhishum - aur
Wahe Guru ki shaan mein naach gaana...
Phir bhi baat nahi banti aur iski wajah hai - film ka overemphasized message jo bhashan banker reh jaata hai.
I Am Singh Sikhon ke right of religion ka mudda uthate uthate –
Jehad – Saddam Hussain aur Al Qaida – tak pohanch jati hai.
Aadhi se zyada film angrezi mein hai - aur woh bhi bagair subtitles ke.
Agar aap Los Angeles ko theatre mein baithkar dekhna chahte hai - to ye film aap ke liye hai - warna nahi!!
I Am Singh ko film ke production values par bohat saara kharch karne ke liye milte hai 2 ** stars.




Ab baat karte hai Balaji films ki The Dirty Picture ki.
2010 mein Balaji Films, director Milan Lutharia aur writer Rajat Arora ne humme - 70s ke daur ke underworld ki kahani di thi - Once Upon a Time
Iss baar yehi team - 80s ke daur ki cinema ki kahani laayi hain - The Dirty Picture



Film teen hisson mein batti hain:

Pehla - Reshma ka ghar aur gaon chodkar Madras ke bade - bade studios mein - struggle karna.

Doosra - Reshma ka Silk banjana aur showbiz ki duniya par raaj karna...

Teesra- Silk ka slow and steady downfall!!

Kaise ek badi superstar kamyaabi ke shikhar se girti hai…bikharti hai…aur tootti hai….
In teeno shaandar phases ko - 2 ghante aur 20 minute ke safar mein - alag roop aur rang mein pirroyya hai - director Milan Lutharia ne.
Is kaam me director ka saath diya hai - unusually talented writer aur lyricist Rajat Arora ne…
Rajat jiss shiddat aur sachai se apne har kirdar ko pesh karte hai - aisa lagta hai hum ussi yug ke yatri hain aur har character ko karibise jante hain...
Film ka music-sets-locations-props- art design-phir woh uss daur ke alishan studios ho -larger than life posters-cinema halls – magazine offices- fashion ya uss samay ki prevailing morality - sab kuch realistic
aur detailed hai…
Impala cars – decorative phones aur Go Go glasses se - Maruti gaadiyaan aur Levis jeans ka safar – khatta meetha - tedha medha – dher saari pareshaniyon aur attitude se bhara hai.
Iska shrey jaata hai - to a large extent - film ki khatti meethi heroine Vidya Balan ko.
Tel mein bandhi chotti aur phhatte ghagra choli mein liptti - gaon ki gori Reshma - shaher ke jhopdon mein rehti hai - aur sitaron ke sapne dekhti hai…
Jab uske sapne sach hone lagte hai - woh na sochti hai - na mehsoos karti hai-bas azad panchi ki tarha aasman mein uddti hai.

Silk manti hai - ke zindagi ko jee bharke jeena chahiyye.
Woh khulke hansti hai aur dilse bolti hai…
Samay ke saath woh – mirchi se zyada tikhi - zehar se zyada kaddvi - aur sharab se zyada nasheeli banti jaati hai…
Iske bawajood - woh paani ki tarha paak aur sheeshe ki tarha saaf hai - jiski wajah se uske dushman bhi use pyaar karte hai!
Film ka har character - superstar Suryakant – uska bhai Ramakant – director Abraham - aur producer Keedadas - apne aap mein lajawab hai.
Koi film perfect nahi hoti aur The Dirty Picture mein bhi khamiyaan hain:
Vidya jab English words bolti hai to who gaon ki ladki nahi lagti.
Film thodi edit hosakti thi - ekada gana kum hosakta tha - aur Vidya ki amma ki bhumika mein koi behtar performer ko liya ja sakta tha…

In chote mote flaws ke baawajood The Dirty Picture ek immensely
entertaining aur emotional experience hai…

Film me beshumaar yaadgaar pal hai jaise …
…Jab Silk mahinon tak ghar mein qaid rehne ke baad - kissi se baat karne ke liye tarasti hai - aur khalli sadak par raat ko chheekhti hai… to aapko goosebumps hotey hai.
…Jab woh nashemein choor - speeding traffic ke beech - chehra chuppati - ladkhadaati hai… aapko ghabrahat hoti hai.
…Jab woh film journalist Nayla ke ghar ke bahar tamasha karti hai… aapko uspar taras aata hai.
….Aur jab woh award function mein speech deti hai… aapka taaliya bajane ka man hota hai
The Dirty Picture - ko hum ek baagi ki kahani bata sakte hai - jisne zindagi ko ko apne oosulon par jeeya…
Ya phir - isse hum ek victim ki kahani bata sakte hai - jiska sabne ek Boarding Card ki tarha istimaal kiya…
The Dirty Picture mainstream cinema ke itihaas mein ek nayya panna
paltati hai.
Vidya Balan apne bejhijhak - robust and flawless performance se Hindi cinema mein heroines ke liye ek nayi jagah kayam karti hai...
The Dirty Picture ko dil kholkar 'Oh la la…' ke saath milte hai 5 ***** stars.


Cinema Review / Zee Cinema Friday 9PM
92.7 Big FM Saturday-Sunday 

No comments:

Post a Comment