Saturday 17 December 2011

Review - Ladies vs. Ricky Behl, Ye Stupid Pyaar & Lanka....

Peechle hafte teen releases thi.
Ek comedy- ek love story - aur ek drama...

Pehle baat karte hain comedy – yaane - YRFilms ki Ladies v/s Ricky Bahl
ki…



Ye teen pyaar mein dhoka khaye ladkiyon ki kahani hain...

Pehli –Delhi socialite -Dimple Chadha – yaane Parineeti Chopra – apne
work out ke dauran apne trainer ko apna dil kho baithti hain.

Doosri –Mumbai ki corporate Diva –Raina Parulekar –yanne Dipannita
Sharma – competition ke junoon mein - ghalat aadmi par vishwas karti
hain…

Teesri – Lucknow ki Saira Rashid – jo 24 saal ki bewa hai - aur pehli baar
apne kaam ke dauran – ek naya dost banati hain.

Fitness trainer Sunny Singh –art dealer Deven Shah –aur sharmila kaarigar
Iqbal Khan – darasal ek hi aadmi hai – Ricky Bahl – jiska kaam - lootna aur
dil todna hai!

Iss behroopiye ko sabak sikhati hai –ek behtareen sales woman - Ishika
Desai – yaane Anushka Sharma.

Kahaani aur characters predictable hai - Devika Bhagat ka screenplay un-
engaging…

Plot bahot saare phases - details aur deals me bata hua hai –

Karodon ki adla badli hoti hai - aur ek hadh ke baad humara man bhatakne
lagta hai.

Na Saleem Suleiman ka music mein maza hai – na hi Vaibhavi Merchant ki
choreography mein koi masti -aur na hi lead performances mein jaadoo.

Parineeti Chopra ke sivaay – there are no surprises in the film.

Anoushka Sharma motorboat chalate hain –sharab piti hain aur bikini bhi
pehenti hain …phir bhi – baat nahi banti.

Afsos ke saath kehna padta hai ki director Manish Sharma - jinhone humein
Band Baajaa Baaraat se humein ghayal kiya tha -is baar Ricky Behl se
disappoint karte hai.

Ladies v/s Ricky Bahl ko milte hain 3*** stars.

Girl power ki baat karte karte film aakhir mein chauvinist ban jaati hain.
____________________________________________________________________

JRD Films ki Ye Stupid Pyaar - Abhishek aur Neha ki chatt mangni aur patt
shadi ki kahani hain...



Abhishek US settled NRI hai aur Neha India settled yoga teacher.

Dono Salsa dance class ke dauran - milte hain - aur bas kuch hi hafton mein
- pyaar ho jata hai - aur baad mein shadi bhi !

Neha ke kehne par - Abhishek apni Bangkok office join kar leta hai aur dono
apna honeymoon Thailand mein manate hain.

Bangkok mein dono apni nayi zindagi se behad khush hain –Achanak ek
haadsa hota hai aur Neha kahi kho jati hai...

Neha ko dhoodhne mein – Abhishek ki madad karti hai - Abhishek ki
college friend Simran - aur iss lambe process mein - Abhishek ko kuch baate
samajh mein aati hain.

Film ka message nek hai - magar presentation boring...

Aapko Thailand dekhne mein dilchaspi hai to aap theatre mein jaane ka risk
utha sakte ho - warna nahi…

Rakesh Jain ki Ye Stupid Pyaar ko milte hai 1* star.
____________________________________________________________________

Vikram Bhatt produced aur Maqbool Khan directed Lanka - Uttar Pradesh
ke chotte shehron ki kahani hai.



Aisa hi ek chotta shehar hai Bijnor- jahan hukumat sarkar ya police ki nahi –
balki Bhaisaaab ki chalti hai.

Bhaisaab ki gadi pe number plate nahi – unka naam – Sisodiyaan - likha
hai...

Wo apni marzi ke malik hai…

Unhe kissi ka khet pasand aa jata hai - to wo khet zapt kar lete hai…
Kissi doctor ki beti pasand aajaye – to usse ‘binbyahi’ banakar rakh lete hai.

Lanka - ek aur Sita ki kahani hai – jo Ravan ke hirasat mein hai…
Aur jisse bachane iss baar bhi - Ravan ke chotta bhai Vibhishan - yaane
Arjan Bajwa aata hai...

Shashank Dabral ki kahani - sacchi ghatna par adharit hai - aur samaj ke
aham mudde uthati hai…

Jaise adultery- anarchy- corruption aur cowardice...
Ek scene mein heroine ka bebas pita kehta hai –‘Pata nahi main baap hoon
ya buzdil…?’

Film real locations par shoot ki gayi hain – aur wahan ke reeti rivaaz-rehan
sehan ko darshati hai.

Saare characters UP dialect mein bolte hai aur bohat saare dialogues
mohavron mein hai – jo UP ki khasiyaat hai.

Film ka sangit - kahani ke mizaaj ka hai - ye saari detailing ke bawajood –
film dil ko nahi chooti…
Iski wajah hai - film ka leisurely pace - lambe scenes aur repetitive
dialogues...

First half to kissi tarha se nikal jata hai - magar second half - khas taurpe
climax unbearable banjata hai.
Manoj Bajpai aur Arjan Bajwa ki mehnat ko nazar mein rakhte hue Lanka
ko milte hai 2**stars.

1 comment: