Monday 13 February 2012

Perfect Valentine Film

Namaskar - Cinema Review - mein - main Bhawana Somaaya - aapka swagat
karti hoon.



Iss hafte do releases hain - Pehli romantic thriller -Valentine's Night.



Ye Delhi mein rehne wale chaar jodiyon ki kahani hain - jo Valentine
ke din judaa hote hain - aur break ke baad  nayi khushiyon ki talash
mein nikalte hain.

Unhe khushi milti hain - magar jurm ke sahe mein!

Valentine ki raat ko - ek murder hota hain - aur aathon kirdaar shak
ke ghere mein hain!!

Payal Rohatgi, Sangram Singh aur Rakhi Sawant ki Valentine Night se
kosso door rahiyein.

************************************************

Dharma Productions aur UTV Motion Pictures produced - Ek Main aur Ek
Tu
do ajnabi ki kahani hain.



Rahul Kapoor - yaane Imran  Khan  - aur Raina Braganza - pariwar se
door - Vegas mein akele rehte hain - aur co-incidentally- dono filhaal
unemployed hain.

Rahul 25 saal ka - kuch complexed, kuch confused - raees maa baap ka
beta hain - jisse apni manzil ki talash hai.

Raina 27 saal ki - khush mijaaz, hasmukh ladki hai - aur zindagi ko
purri shiddat se jeeti hain.

Dono - ittefaq se ek supermarket mein milte hain -ittefaq se Christmas
eve saath guzarte hain - aur phir ittefaq se - shaadi bhi kar lete
hain!

Agli subah - breakfast ke dauran - dono shaadi ko annul karneka
decision lete hain - aur ek hafte baad - unki shaadi kharij ho bhi ho
jati hain.

Ab Rahul aur Raina - bagair dabbav ya bandhan ke - ek doosre ke ache
dost ban jate hain.

Kahani ka pace kuch dheema hai aur kuch character liberties hai.

Imran architect hai - magar hum kabhi usse koi drawing karte hue nahi dekhte.
Kareena hairstylist hai - magar wo Imran ke sivay - kabhi kissi ke bal
style nahi karti.

Dono - Vegas mein lambe samay se rehte hai magar kissi dost ya
colleague se rishta nahi hai - jo unusual hai.
Dharma productions se aur doosre productions se -humne bohat saari -
pyaar dosti ki kahani dekhi hai.

Agar KKHH mein - pyaar dosti hai -toh  DTPH mein -dosti pyaar nahi hai
- aur - Wake Up Sid mein phir se - dosti hi pyaar hai!

Ek Main aur Ek Tu - issi vishay se sambodhit - ek naya drishtikon hai.

Zyadatar youth oriented filmein - sirf unke pyaar ki charcha karti hai
-director Shakun Batra - pyaar ke saath saath - unke career goals -
frustrations aur loneliness par nazar dalte hai…

Music Director Amit Trivedi ka music mein thehrav hai - aur lyricist
Amitabh Bhatacharya lyrics mein dard - khas taurpe gana ‘Sab kuch wahi
hai/Tere aahat ki kammi hai.'

Film ki kahani, climax - message anokha hai aur romance ke niyyam badalta hai.
Kareena Kapoor hero Imran Khan se do saal ummar mein badi hai - magar
iska kabhi koi zikar nahi hota.

Wo apni marzi se - apni body - apne boyfriends ko discuss karti hai -
aur hum judgmental nahi hote!

Film ka presentation- dialogues -characters- contemporary hai.
Aur starcast charismatic.

Imraan Khan effective hai - magar  Kareena Kapoor bahar bankar -
screen par chha jati hai…

Aaap theatre se jab ghar jaate ho to akele nahi jaate - Raina Braganza
ko saath lekar jaate  ho...

Ek Main aur Ek Tu ko milte 3.5 stars.

************************************************

The review appears as it is on Cinema Review on Zee Cinema, Fridays 9PM.
In an edited version over weekends on 92.7 Big FM

2 comments:

  1. Bahut saralta aur sahajta se aap ne review likha hain. Padhne mein zyaada dikkat nahin hui. It looks like an interesting film to watch considering gayi-guzri kahaani ko ek alag drishtikon se dikhane ka prayatna kiya gaya hain. I am going to watch this movie keeping in mind your review.

    ReplyDelete
  2. मेरा मानना है कि अगर यह हिंदी में होता तो और प्रभावी होता। साथ ही ज्यादा लोगों तक भी पहुंचता।

    ReplyDelete