Sunday, 26 February 2012

Season of Love


Namaskar - Cinema Review mein - main Bhawana Somaaya - aapka swagat karti hoon.
Iss hafte do releases hain - aur dono romantic comedies.



Prasar Visions Ltd. ki Jodi Breakers - aise ladke ki kahani hai - jo apne divorce ke baad...Ye thaan leta hai - ki wo har dukhi shadi-shuda jode ka happy divorce dilwayega...Aur wo bhi alimony ke bagair!

Siddharth - apne clients ko Nano Bar mein milta hai - aur unhe shaadi ke bandhan se mukt karwata hai.Woh apne naye profession se behad khush hai...Aur uske clients - usse bhi zyada!

Ek din - ussi Bar mein Siddharth ki mulaqat Sanjana se hoti hai...Aur dono partners ban
jaate hai.



Film ka first half - stupid jokes- blondes- beaches aur bikini mein chala jaata
hai….

Dher saare careless clients ke baad - Siddharth Sanjana ke paas ek serious case aata hai...

Aur Jodi Breakers ek decision lete hai…!

Iss baar - wo shaadi todenge nahi - balke jodenge!!

Business tycoon Mark - apni mashuqa Maggie ko chod apni biwi ke paas wapas aata hai.

Madhavan - Bipasha iss baat ko Greece mein gaana gaake celebrate karte hai.
Film Mumbai se Greece - aur Greece se Goa - ek hi baat ko lekar ghumti rehti hai.

Madhavan - jo chutkiyon mein kam banata tha - confession ke liye climax ka intezar karta hai.

Film ka pace bohat hi dheema hai - aur screenplay mein bohat saare contradictions...

Dipannita Sharma ko pehle Milind Sonam ki mashuqa bataya gaya - baad mein biwi.
Mrinalini Sharma bhi Milind ki biwi hai - to kya Milind ki do biwiyaan hai aur kyon?
Dipannita pregnant hai magar kabhi uska pet dikhta hai - toh kabhi nahi.

Zyadatar dialogues double meaning mein hai - aur kuch scenes itne outrageous hai - jaise hero ka OT mein dakhil hokar doctors ke saath vivaad karna - jo medical profession ki tauheen hai!

Film ki favour mein main kahungi ki idea, casting aur locations refreshing
hai...

Kuch sequences nirale hai - jaise jab dono kiss karte hai - Ya client ke saath - unki nahi - apni baat karte hai.

Iss ke bawajood film mein bohat kuch missing hai…

Helen film ki surprise packet hai.
Dukh ki baat ye hai ke wo as always - typecast hai.

Madhavan zaroorat se zyada scruffy lagta hai -Bipasha Basu sundar bhi hai aur sincere bhi...
Dono competent hai magar sorry- jodi nahi banti.

Jodi Breaker ko milte hai 2.5 stars.

*************************************************************

Tips Music films ki Tere Naal Love Ho Gaya



Harayana mein rehene wale Bhatti - aur unki beti ki kahani hai.

Bhatti ka auto rikshaw ka business hai. Bhatti ki beti Miny - yani Genelia Dsouza khush mijaz aur khule dil ki ladki hai.

Viren - yani Riteish Deshmukh - Bhatti ke yahan rikshaw chalata hai.

Bhatti ko Viren pasand nahi - isliye koi na koi bahane se usse tang karte rehata hai.

Miny ko Sunny pasand nahi - isliye maan hi maan bhagne ka plan banati rehati hai.

Mangni ke din - Viren ka Bhatti se jhagda hota hai. Miny mauke ka faida uttha kar Viren ke saath ghar se bhaag jaati hai.

Iss lambe safar ke dauran - dono mein pyar ho jata hai. Kahani jaani pehchani hai. Aisi love story humne bahut baar dekhi hai.

Film mein regular dose of drama hai - kidnap hai - extortion hai - aur dher sara pyaar.

Tere Naal Love Ho Gaya ko special banati hai -  Riteish Genelia ki magical jodi.
Dono dil kholkar haste hain - nachte gaate hain... Film ki lead pair - film ki khaas baat hai.

Dirctor Mandeep Kumar ki Tere Naal Love Ho Gaya sirf unke liye wasool hai.

Riteish Genelia - parde ke uppar - aur parde ke peeche - made for each other hai.

Tere Naal Love Ho Gaya ko milte hai 2.5 stars.

*************************************************************

The review appears as it is on Cinema Review on Zee Cinema, Fridays 9PM.

http://www.youtube.com/watch?v=5-ufSb2-MOE&list=UUxz2c50dBGCGDbbbZ8LesNQ&index=1&feature=plcp
In an edited version over weekends on 92.7 Big FM

2 comments:

  1. Hello Ma'am! As always, a pleasure reading your reviews but this week's films did not appeal to me. Hence, I watched the silent film "The Artist". Aap ek critic hain isiliye mujhe lagta hain ki aapko yeh movie zaroor dekhna chahiye.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks Akshay. I appreciate it. I will definitely try to watch 'The Artist'.
      BS.

      Delete