Friday 14 August 2015

Gaur Hari Dastaan: Truth Triumphs- DAY637



Ananth Narayan Mahadevan directed aur Surendran likhi Gour Hari Dastaan ek freedom fighter
ki kahani hai.
Gour Hari Das yaane Vinay Pathak, Khadi Kraft mein kaam karte hai, aur apni patni Lakshmi/
Konkana Sen aur bĂȘte ke saath Mumbai mein rehte hain.

Ek din, jab unke bĂȘte ko, unki swatantrata ki ladai ka Taampatra na hone se, college mein
dakhila nahi milta, tab Gaur Hari Das ki zindagi astitva ki talash ban jaati hai.
Iss film ka hum kai tarha se varnan kar sakte hai…
Isse hum aazadi ka junoon keh sakte hai…Ya aazadi ki gairr zimmedaari bhi…

Isse hum satya ki shakti keh sakte hai….. ya bhrashtachar ka jashn bhi.. .

Film ka plus, film ka vishay, film ka sandesh, film ke muddein, saare performances, khaas taurpe
Vinay Pathak aur sab se badhkar, film ki neeyat.

Mee Sindhoo Tai ke baad, Ananth Mahadevan, ek baar phir, humare zameer ko tatolte hai.

Mana ki film dheemi hai, kuch sukhi hai aur kuch kadvi bhi, iske bawajood, Gour Hari Dastaan
dekhni chahiye, kyon ki ye vyaktigat hai, samajik hai aur rashtriya bhi!.

Gour Hari Dastaan ko Big Entertainment Ratings milte hai 3.5 stars.

Bhawana Somaaya/@bhawanasomaaya

1 comment: