Friday, 11 January 2013

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 11


Gangoo wears Garra and Mandola doesn’t connect!
11.1.2013. Mumbai

Iss hafte 2 rleases hain. Pehli- NFDC ki peshgi Gangoo Bai.

Gangoo Matheran mein ghar kaam karnewali houemaid ki kahani hai. Ek din Gangoo apne memsaab ki beti ko Garra shaadi mein dekhti hai aur uski zindagi badal jaati hai. Woh din raat mehnat karke chaar saal baad 50,000 ruppaiye ekatha karti hai aur shaadi kharid ne ke liye Matheran se Bambai aati hain.

Director Priya Krishnaswamy ki iss chotti aur saral film mein gaon ki mithas hai…shehar ke sapne…kudrat ki sachai..vicharon ki visheshta aur rishton ki ahmiyat hain…

Ye sach hai ki Gangoo ke liye sab kuch bohat aasan aur jaldi haasil ho jaata hai. Film kuch lambi -kuch dheemi aur kahin par gaano ki kummi bhi mehsoos hoti hai – magar ye saari khamiyaan Sarita Joshi apne vyaktitva se bhar deti hain.

Shraddha aur sachai se bhari Gangoo Bai ko Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars.

***

Doosri film - Vishal Bharadwaj ki Mattru ki Bijli ka Mandola.

Matru ki Bijli ka Mandola ek Harayni businessman ki kahani hai jo ek corrupt politician ki madad se apne gaon bechkar malls banana chahta hai.

Mandola- yaane Pankaj Kapoor ke andar do aadmi hain – ek sharab ke pehla aur doosre sharab ke baad. Mattru – yaane Imran Khan ke andar bhi do aadmi hain- ek jo Mandola ka naukar hai aur doosre jo padha likha krantikari hai. Achraj ki baat toh ye hai ki Bijli- yaane Anushka Sharma ke andar bhi do insaan hain – ek jo amir baap ki aulaad beti hai aur doosre jo zindagi se bazaar Meena Kumari hain.

2 ghante aur chaalis minute ki film mein writer director Vishal Bharadwaj ko kahani ke saath saath teen kirdaron ke mukhawte utarne hain.

Film jab shuru hoti hai toh aisa lagta hai jaise kuch khaas hone wala hai. Jiss tarha se scenes aur characters unfold hote hain tab aisa lagta hai jaise director apne audience ko samajhta hai. Mattru ki Bijli mein manoranjan ki saari samagri hain – natkhat title, andekha plot, jhoomta sangit, refreshing dialogues, yaadgar scenes aur mazedar characters.

Ye saari vishestaon ke bawajood - teer nishane par nahi lagta! Director apni gulabi bhaisn aur helicopter ride mein iss tarha se kho jaate hain ki audience se communicate karna bhool jaate hain.

Anushka Sharma aur Imran Khan ki jodi achi hain magar Shabana Azmi aur Pankaj Kapoor ki jodi zyaada dilchasp hain.

Mattru ki Bijl ka Mandola ko Big Entertainment Ratings milte hain 2.5 stars.

The above review can be heard on 927 Big FM over the weekend. Suno sunao life banao.
Bhawana Somaaya/ www.bhawanasomaaya.com

No comments:

Post a Comment