Friday, 18 January 2013

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 18


Bandook surprises Inkaar introspects
18. 1.2013, Mumbai

Aditya Om ki Bandook ye sabit karti hain ki kissi bhi film ko poster se nahi parkha ja sakta.

Bandook Uttar Pradesh ke police, panchayat aur raajneeti ke atyachar ki kahani hain.

Gaon ka ek sadharan ladke Bhola ka sabne apne fayde ke liye istimaal kiya. Inn saare atyacharon ke bawajood Bhola victim nahi hain.

Bhola taqatwar logon se daav pech samajhkar khud taqatwar banta hain. Kehta hai jab kalam pakadne ka samay tha tab kalam pakdi nahi isliye ab bandook uthata hai.

Film ki likhawat – dialogues – action aur khas taurpe Nikhil Kamath ka sangit bahtareen hai.

Aditya Om film ke producer director aur writer ke saath saath film ke hero bhi hain aur ye saari bhumikayein bakhubi se nibhate hain.

Film ki heroine Manish Kalekar ka role chotta magar prabhavshali hain. Kalekar sundar hai aur achi adakara bhi.

Aditya Om teen filmmakers’ se prabhavit hain – Ram Gopal Verma- Anurag Kashyap aur Prakash Jha aur Bandook ye teenon ki style of filmmaking ka mishran hai.

Aditya ki ye pehli parakrami peshgi ke liye Bandook ko Big Entertainment Ratings milte hai 3 stars.

******************************************************************

Sudhir Mishra ki Inkaar ek rishta ki kahani hai. Kaise rishta banta hai – palta hai – badalta hai aur tootta hai.

Aur kyon ki zyadatar rishte hamare sirf kaam ke dauran bante hain hume ye bhi sochna hai kya hamara rishta vyavsay ka hai…? Zimmedari ka…? Dosti ka…ya phir fayde ka…?

Aaj hum jis samaj mein jeete hai wahan dus mese ek vyakti apne kaam ke dauran atyachar ka shikar hai. 

Iske bawajood sexual harassment ke vishay par ab tak sirf ek film bani hai – Aitraaz.

Aitraaz mein female boss Priyanka Chopra apne male colleague Akshay Kumar se zyati taurpe bohat kuch chahti hai aur use sabak sikhane ke liye Akshay ki biwi Kareena Kapoor uspar muqadama chalati hai.

Inkaar mein Arjun Rampal aur Chitrangda Singh equals hain. Rampal Ad Agency ka Ceo hai aur Chitrangda Singh group ki National Creative Director.

Singh Rampal par sexual harassment ka dava karti hai aur ad agency ko majbooran Complain Committee bithani padti hain.

Dhai din ke lagatar sawal jawab ke baad- Committee Officer Deepti Naval koi nateeje par nahi pohachti.
Audience ka haal bhi kuch aisa hi hai – hum aakhir tak ye tayy nahi kar paate ki kaun sacha aur kaun jootha hai.

2012 mein lagoo kiya gaya Section 14 aise mamlo mein ek eklauta Gender Neutral law hai – jo aurat mard ka bhed bhav na karte hue sachai ko parakhta hai. Inkaar ka issi saal release hona ek nayi soch aur badlav ka pratik hai.

Director Sudhir Mishra ki zyadatar filmein samajik samasyaon par hot hai aur Inkaar inmein se ek hai.

Ek campaign ke peeche kitne sapne palte aur bikharte hain…ek promotion ke peeche kitne dil jalte aur tootte hain…

Inkaar ko sirf achi ya burri kehkar kharij karna film ke saath zyaati hogi kyon bohat saari khamiyon ke bawajood film Cinema ke itihaas ka ek naya panna palatti hai.

Aur sirf iss baat ke liye Inkaar ko Big Entertainment Ratings milte hai 3.5 stars.

Bhawana Somaaya/ www.bhawanasomaaya.com


No comments:

Post a Comment