Peechle
do mahino mein- IPL ki wajah se - zyaada badi filmein release nahi hui hain.
Chotti
filmein - jo badi filmon ke saath release hokar aksar box-office par maar khati
aayi hain -
Aise
samay ka - fayda uthati hain.
Aanewale
ravivar ko IPL khatam ho jayega - aur saath hi mein - chotti filmon ka carvaan
bhi.
Indradhanush
mein saat rang hain - aur iss shukrawar - saat filmein- cinema halls mein apna
rang dikhayegi.
Shuruat
karte hain Love Recipe se:
Film
ke ek scene mein hero ke pita apne bete se kehte hain 'Pyaar wo hain - jo
dheemi aanch par pakta hain aur dheemi aanch par hi tikta hain…'
Director
apne character ki baat seriously le lete hain -
Film
dheemi aanch par chalti hain aur climax tak pakti nahi…
Aur
ek baat - title ka kahani se koi matlab nahi -
Film
ka title Love Recipe nahi - Confusion Recipe hona chahiye tha.
Love
Recipe ko milta hain 1 star.
Rakt
Beej ek aur maara-maari aur khoon kharabe ki kahani hain.
Film
mein itne saare tracks aur characters hain - ke kiska - kisse
-
kya rishta hain -kissiko samajh mein nahi aata.
Ye
bhi samajh mein nahi aata - ki hero - dacait aur business man ka double role
nibha raha hain...
Baap
bete ki itni simple kahani ko itna complicated banane ke liye-
Rakt
Beej ko milta hain 1 star.
Ye
Khulla Aasmaan sabit karta hain ke zaroori nahi - ke ek acha khayal ek achi
film mein badle.
Ye
aise teen generation ki kahani hain - jo gaon-shehar aur pardes mein faile hue
hain.
Film
ka sangit acha hain - aur sandesh nek -
Writer
zindagi ko aasmaan mein udti patang se tulna karte hain.
Afsos - ke wo hamare dil ko - patang ki tarha -
aasman mein nahi uda paate!
Ye
Khulla Aaasmaan ko milta hain 1.5 star.
MLA
Madhya Pradesh ke chotte gaon Bhagalpur ki kahani hain...
Ek
sacha insaan - gaon walon ka vishwas jeet ta hain -
Aur
doosri aur ek dhoke baaz- apne kapat se
- wohi vishwas ko todta hain !
Kahani
jaani pehchani hain -
Film
ko dilchasp banati hain - authentic locations - bhasha aur saare performances -
Khas
taurpe Mukesh Tiwari.
MLA
ko sahi Madhya Pradesh se humara samparrk karwane ke liye milte hain 2 stars.
Chutki
Baja Ke - ko bachon ki kahani kaha ja sakta hai... -
Super
natural kahani kaha ja sakta hai... -
Ya
phir inspirational film kaha ja sakta hai...
Ek
bohat purani kahawat hain - zulm karne wale se zulm sehne wala zyada kusurwaar
hota hain!
Dhaabe
mein kaam karne wala anaath Chottu - kayi zulm sehne ke baad -
Guru
Baba Khan ki madad se apne par hue - har atyaachar ka datt ke jawab deta hain.
Iss
refreshing aur positive message ke liye Chutki Baja Ke ko milte hain 2.5 stars.
Love
Wrinkle Free - Goa mein basein aaj ke urban nuclear family ki kahani hain.
Aise
subjects hum ab tak- Hollywood filmon mein dekhte the-
Magar
ab aisi filmein- hum khud bana rahe hain.
Title
se ye bohat boring film lagti hain -
Magar
theatre mein jaane ke baad - full on entertainment guaranted hain.
Film
ko special banati hain - film ki middle aged lead pair - Ash Chandler aur
Shernaz Patel.
Aur
saath mein Goa ki masti - Ye film sirf aur sirf Goa mein banayi jaa sakti thi.
Love
Wrinkle Free ko milte hain 3.5 stars.
Aur
aakhir mein UTV ki ambitious animation film
Arjun-
The Warrior Prince.
Purane
zamane mein - jab Shah Jahan ne Taj Mahal banaya tha- usmein sainkdo karigaron
ki mehnat shamil thi.
Aaaj
ki Arjun jaisi animation film ke peeche bhi - sainkdo talented artistes shamil
hain.
Anginat
animators jisne
mahine
saal - raat din - computers ke aage baithkar graphics banaye hain…
Har
frame - har character ko - alag soch aur alag roop diya hain…
Main
salaam karti hoon Murlidhar aur Rastogi ke production design ko -
Jisne
Mahabharat ke Hastinapur - Indraprasth
aur jungalo mein bitaye - Paandavo ke agyavast
ko bekhubi se pesh kiya hain…
Director
Arnab Chhaudhri ne animation films aur
iss desh ka gaurav badhaya hain.
Arjun
The Warrior Prince ko cinema ke itihaas - ka naya panna paltane ke liye - milte
hain 4.5 stars.
Toh
ye thi iss hafte ki releases- agle hafte phir mulaqat hogi - tab tak ke liye
mujhe dijiye ijaazat -Namaskar.