Friday 29 November 2013

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 237

RAJA ROCKS.
29.11.2013



Moving Picture produced aur Tigmanshu Dhulia likhi directed Bullet Raja Uttar Pradesh ki rajneeti aur mijaaz ki kahani hain.

Raja Misra yaane Saif Ali Khan padha likha, naukri ki talash mein bahdur ladka hain jo ek din raah chalte gundon ke saath ulajh jaata hain aur unse bachne ke liye chalti baraat mein shamil ho jaata hain.

Shaadi mein unki mulaqat dulhan ke first cousin Raghu, yaane Jimmy Shergill se hoti hain aur wahan se shuru hoti hain Raghu-Raja ki jugal bandi.

Dono jamkar aise baraste hain ki UP ka crime world/ industrialists /politicianss aur police baukhla jaati hain.

Film ki editing bullet ki tarha tez - aur likhawat extra-ordinary hain khaas taurpe daialogues – missal ke taurpe ‘Bhraman bhukha - toh Sudama aur rootha - toh Raavan’.

Tigmanshu Dhulia apne kirdaar, locations, unke aapsi rishte, pariwar, vyavhar aur bhasha ko sneh, adhikar aur bariki se pesh karte hain.

Ye shayad pehli film hain jiska action aur emotion ek hi sur mein hain – andar se uttejit aur bahar se shant!!

Lucknow- Mumbai- Kolkatta aur Chambal ke real locations par shoot ki gayi Bullett Raja ka har character dilchasp aur performance qabile taarif hain: supporting cast mein Gulshan Grover, Raj Babbar, Ravi Kissan aur Viddyut Jamval.

Premika ki bhumika mein sundar Sonakshi Sinha aur Sholay ke Veeru- Jay ki yaad taza karte hue Jimmy Shergil aur Saif Ali Khan.

Film ke raja beshaque Saif Ali Khan hain jinme gunde ka tevvar, leader ka thehrav and bhraman ka gyaan hain.    

Film ka second half thoda lamba hain aur revenge predictable hain. Dosti/dushmani- action/item number ki filmein  humne iske pehle bhi bohat baar dekhi hain, magar Tigmanshu Dhulkia ka Take hamesha alag hota hain.

Haasil, Saheb Biwi aur Gangster series ke baad, taiyaar ho jaiye ek intelligent, original, tikhi aur tadakedar film ke liye!!

Bullet Raja ko Big Entertainment Ratings milte hain 4 stars.

No comments:

Post a Comment