Friday 24 July 2015

Masaan is about Varanasi we have never seen-DAY 626


Drishyam Pictures produced aur Neeraj Ghaywan directed Masaan, Bharat ke chote shehar aur
bade hauslo ki kahani hai.

5000 saal purane Varanasi ghaat mein sainkdo yaatri aate jaate hain.
Masaan wo ghaat par bassi zindagiyon ki kahani hain.
Aur jaise aam zindagi mein hota hai – kahanni se judi kahani aur rishte se jude aur rishte…
Theek ussi tarha se, writer Varun Grover ,hume  Sanskrit teacher, Vidyadhar Pathak.., unke
khaas shishya Jhonta..,  unki computer seekhi beti, Devi.., Devi ka dost.., dost ka pariwar.. aur un
sab ke halaat ka sampark karwaate hain.
Saath hi mein college mein padhte do premee Shweta Tripathi  aur Vicky Kaushal, unke
pariwar… aur unki alag samasyaein...


Director Neeraj Ghaywan Varanasi ke janam mrityu itihaas ko kabhi raag, kabhi kavita aur kabhi
jigyasa ka naam dete hai.

Film ko anokha banati hai film ka backdrop aur multi multi track narrative. Naya ladka Vicky
Kaushal aur Devi ki bhumika mein Richa Chaadha, apne career ke sabse mushkil performance
mein!

Masaan manoranjan nahi ek soch hai…Aaina hai… Mizaaj  hai...Ismein  thehraav hai aur
raungte khade kar dene waali kaddvi sachai bhi!!

Massan kio Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars.

Bhawana Somaaya/ @bhawanasomaaya

2 comments: