Imtiaaz Ali directed Tamasha kahani hai do ajnabiyon ki, jo pardes mein milte hain aur
dost ban jaate hain.
Dono wada karte hain ki wo ek doosre ke baare mein
kuch nahi jaanenge.
Holiday samapt hota hai, aur dono apni zindagiyon
mein wapas laut aate hain!
Kuch saal beet jaate hain aur ek din, dono ek baar
phir milte hain…
Iss baar, apni sachi pehchan ke saath…
Film ka plus: film ki anokhi kahani. Jahan
aam taur par love stories sirf pyaar ki baatein karti hai, Tamasha pyaar ke alava bohat saare jasbadon ki gulliyon mein ghoomti
hain.
Yahan kabhi bachpan ki kahaniyaan hoti hain… Kabhi
rozi roti ki bhaag daud… Kabhi apne aap se baatein hoti hai aur kabhi sapnon ki
udaan…
Ranbir Kapoor ka Ved aur Deepika Padukone ki Tara
wohi mehsoos karte hai jo doosre premi mehsoos karte hain.
Unhe nirala bante hain director Imtiaaz Ali ki soch
aur prersentation, kahani ki situations aur characters ke andaaz.
Jab
We Met/ Love Aaaj
Kal/ Rockstar/ Highway ke baad, Imtiaaz Ali ek aur
thought provoking film laayein hain.
Film ka structure complex hai aur shuruat thodi
mushkil bhi magar Ranbir Kapoor aur Deepika Padukone aap ko jakad kar rakhte
hain.
Tamasha mein
josh hai, jalwa hai, jalsa hai, junoon hai phir wo mohabbat ho ya gaane!
Yahan khushiyaan jhumkar naachti hai aur dukh
jhanjhod kar rakh dete hain.
Tamasha
dekhni
chahiye Ranbir Kapoor aur Deepika Padukone ke outstanding performances aur
amazing chemistry ke liye.
Jab dono screen par saath hain, aap khush hai. Jab
wo alag hai, aap mayoos hai.
Imtiaaz ali ki Tamasha
ko ek aur naye prayas ke liye BiG Entertainment Ratings milte hai 3.5 stars
@bhawanasomaaya