Friday 27 November 2015

Tamasha is sparkling - DAY 709

Imtiaaz Ali directed Tamasha kahani hai do ajnabiyon ki, jo pardes mein milte hain aur dost ban jaate hain.

Dono wada karte hain ki wo ek doosre ke baare mein kuch nahi jaanenge.
Holiday samapt hota hai, aur dono apni zindagiyon mein wapas laut aate hain!

Kuch saal beet jaate hain aur ek din, dono ek baar phir milte hain…
Iss baar, apni sachi pehchan ke saath…

Film ka plus: film ki anokhi kahani.  Jahan aam taur par love stories sirf pyaar ki baatein karti hai, Tamasha pyaar ke alava bohat saare jasbadon ki gulliyon mein ghoomti hain.

Yahan kabhi bachpan ki kahaniyaan hoti hain… Kabhi rozi roti ki bhaag daud… Kabhi apne aap se baatein hoti hai aur kabhi sapnon ki udaan…

Ranbir Kapoor ka Ved aur Deepika Padukone ki Tara wohi mehsoos karte hai jo doosre premi mehsoos karte hain.

Unhe nirala bante hain director Imtiaaz Ali ki soch aur prersentation, kahani ki situations aur characters ke andaaz.

Jab We Met/ Love Aaaj Kal/ Rockstar/ Highway ke baad, Imtiaaz Ali ek aur thought provoking film laayein hain.

Film ka structure complex hai aur shuruat thodi mushkil bhi magar Ranbir Kapoor aur Deepika Padukone aap ko jakad kar rakhte hain.

Tamasha mein josh hai, jalwa hai, jalsa hai, junoon hai phir wo mohabbat ho ya gaane!
Yahan khushiyaan jhumkar naachti hai aur dukh jhanjhod kar rakh dete hain.

Tamasha dekhni chahiye Ranbir Kapoor aur Deepika Padukone ke outstanding performances aur amazing chemistry ke liye.

Jab dono screen par saath hain, aap khush hai. Jab wo alag hai, aap mayoos hai.
Imtiaaz ali ki Tamasha ko ek aur naye prayas ke liye BiG Entertainment Ratings milte hai 3.5 stars

@bhawanasomaaya







1 comment: