Friday 4 December 2015

Kajariya is slow and serious- DAY 714 (1)

Mahurreta Anand likhi directed Kajariya Haryana ke chotte gaon ki kahani hain jahan ladikiyon ka janam hote hi unhe maar diya jaata hain.

Aur ye kaam karti hai Kajariya, jisse gaon wale Maata Kaali ka avtaar mante hain…

Film ka plus: film ki kahani, detailed research, locations aur screenplay.

Director Madhurreta, journalist Meera aur Kajariya ki kahaniyon ko jodkar, shehar aur gaon ki lakeeron ko mitati hain aur aham samajik muddein uthati hain.

Film ka minus: film slow hai, serious hai aur achi neeyat aur sandesh ke bawajood, hum se puri tarha se jud nahi paati.

Agar aap ko manoranjan ki talash hai toh Kajariya aap ke liye nahi hai.
Agar aap female infanticide yaane ‘kanya shishu hatya’ ke khilaaf ho, toh Kajariya zaroor dekhiyeen.

Kajariya ko Big Entertainment Ratings milte hain 2.5 stars.


@bhawanasomaaya




No comments:

Post a Comment