Abhishek Kapoor directed Fitoor Charles Dickens ki mashhoor kitab Great Expectations par adharit hai.Film Kashmir se shuru hokar, Dilli-London ghumte hue,
wapas Kashmir khatam hoti hai aur iss dauran hum milte hai film ke kirdaaron se…Begum, yaane Tabu, jinhe apni beti Firdaus se dher
saari umeedin hai…Firdaus, yaane Katrina Kaif, jisse bachpan ke dost
Noor se kuch na izhar karte hue bhi apekshaein haiAur Noor, yaane Aditya Roy Kapoor, jo sab ki umeedon
par khara utarna chahta hai…
Film ka plus: Film chitra se zyaada khoobsurat aur
kavita se zyaada dilchasp hai aur iska shrey jaata hai film ki extra-ordinary
cinematography, art design aur sangit ko.
Film ka har frame mulayam aur har shann manmohak hai,
jisme chaar chand lagate hai film ke bahtareen costumes, sensitive writing aur dil
chhoone waale gaane.
Film ki casting lajawab hai jisme shamil hai Noor
aur Firdaus ka bachpan nibhate kalakar aur cameo mein Lara Dutta...
Saare performances sur mein hai…Aditya Roy Kapoor ka
Noor junooni hai aur Katrina Kaif ki Firdaus rahasmayi…
Aditi Hyadri hatash hai aur Tabu ki Begum humara
chalni karti hain...
Film ka minus bas itna hai ki second half lambi aur
repetitve hai…
Kuch filmein, hum popcorn khaate hue dekhte hain…
Aur kuch mein, sahi mizaaj ki zaroorat hoti hai...
Fitoor
barfeeli vaadiyaan, sukhe ped aur jhadte patton mein tootte dilon ki dastaan
hai.
Fitoor ko Big Entertainment Ratings
milte hai 3.5 stars.
@bhyawanasomaaya
No comments:
Post a Comment